SEARCH RESULTS
Showing search results for "baazu-e-qaatil"
Ghazal MATCHES FOR "baazu-e-qaatil"
Ghazal
marne kii ai dil aur hii tadbiir kar ki mai.n
shaayaan-e-dast-o-baazuu-e-qaatil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ai aarzuu shahiid-e-vafaa KHuu.n-bahaa na maa.ng
juz bahr-e-dast-o-baazu-e-qaatil du.aa na maa.ng
Mirza Ghalib
Ghazal
ye soch soch ke bismil pe kyaa guzartii hai
ki dast-o-baazuu-e-qaatil pe kyaa guzartii hai
Shadan Indauri
Ghazal
mumkin hai dast-o-baazuu-e-qaatil to thak bhii jaa.e
shaayad thame na diida-e-KHuu.nbaar ab ko.ii
Shahid Ishqi
Ghazal
sar tasliim nahii.n baazuu-e-qaatil kaa javaab
aaKHirash maare ga.e KHud bhii masiihaa an me.n
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
teG be-aab hai ne baazuu-e-qaatil kamzor
kuchh giraa.n-jaanii hai kuchh maut ne fursat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
saKHt-jaanii se mirii paalaa agar pa.Dtaa use
dekhtaa phir zor kitnaa baazuu-e-qaatil me.n hai
Shola Kararvi
Ghazal
chal ke puuchhe.n to zaraa baazuu-e-qaatil kaa haal
le ke vo nikle hai.n talvaar KHudaa KHair kare
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
Ghazal
dast-e-iisaa bhii vahii baazuu-e-qaatil bhii vahii
kitnaa naazuk hai charaaGo.n se havaa kaa rishta
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
us ke sivaa har ek kii mushkil me.n jaan hai
dar-asl sirf baazuu-e-qaatil me.n jaan hai
Nomaan Shauque
Ghazal
karnaa hai jo sar ma.arka-e-ziist to sun le
be-baazuu-e-haidar dar-e-KHaibar nahii.n girtaa
Qateel Shifai
Ghazal
ik gardan-e-maKHluuq jo har haal me.n KHam hai
ik baazuu-e-qaatil hai ki KHuu.n-rez bahut hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
shor-e-tahsiin se hai.n KHalq ke chehre raushan
surKH-ruu baazuu-e-qaatil hai ki talvaar ki ham
Masood Qureshi
Ghazal
kyuu.n shariik-e-Gam banaate ho kisii ko ai 'qatiil'
apnii suulii apne kaa.ndhe par uThaa.o chup raho
Qateel Shifai
Ghazal
le is ne tiraa kaasa-e-jaa.n to.D hii Daalaa
jaa kuucha-e-qaatil me.n 'qatiil' aur sadaa kar
Qateel Shifai
Ghazal
mai.n apnii zaat me.n niilaam ho rahaa huu.n 'qatiil'
Gam-e-hayaat se kah do KHariid laa.e mujhe
Qateel Shifai
Ghazal
Nami Ansari
Ghazal
kuchh muzd-e-ra.nj baazuu-e-qaatil nahii.n ki dil
nazr adaa-e-burrash-e-shamshiir kar chuke