SEARCH RESULTS
Showing search results for "batan-e-takhliiq"
Ghazal MATCHES FOR "batan-e-takhliiq"
Ghazal
KHallaaq-e-husn-o-ishq ba.Daa dil-navaaz hai
taKHliiq-e-sham.a hote hii parvaana ban gayaa
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
jaanaa suraaG-e-jauhar-e-taKHliiq Dhuu.nDne
aur us ke baa'd aalam-e-hairat guzaarnaa
Imdad Akash
Ghazal
ba-ii.n-nazaakat-e-taKHliiq Thokare.n khaane
ye pattharo.n me.n kahaa.n shiishagar nikal aa.e
Ghaus Mohammad Ghausi
Ghazal
bahut 'ajiib hai nazzaara-e-fan-e-taKHliiq
mai.n ro diyaa to kisii ke liye fasaana hu.aa
Syed Mohammad Tajeel Mehdi
Ghazal
ek sayyaal kasak jaada-kushaa-e-taKHliiq
fan kii nabzo.n me.n ravaa.n ho to Gazal hotii hai
Hurmatul Ikaram
Ghazal
za.ngaar kiyaa jaataa hai aa.iina-e-taKHliiq
aur naqsh chale jaate hai.n bekaar hamaare
Dilawar Ali Aazar
Ghazal
Bebak Bhojpuri
Ghazal
tamaam maqsad-e-taKHliiq KHaak ho jaataa
gurez karte agar ham fareb khaane se
Iftikhar Ahamad Siddiqi
Ghazal
pa.Dho ibaarat-e-taKHliiq-e-dard chehre par
likhii hai karb kii ruudaad zard chehre par
Ainuddin Azim
Ghazal
saahib-e-fan ko bas ik Guncha-e-taKHliiq bahut
varna be-suud agar 'umr-e-KHizar de ko.ii
Khalil Ur Rahman Azmi
Ghazal
sard ruumaanii pahar kaa jazba-e-taKHliiq huu.n
mujh ko ayyaam-e-guzishta kii ko.ii chaadar na de
Abdul Matin Jami
Ghazal
ba.Dhne lagaa thaa nashsha-e-taKHliiq-e-aab o KHaak
vo chaak uThaa ke chal diyaa kuuza uThaa ke mai.n
Dilawar Ali Aazar
Ghazal
kab se baiThaa huu.n KHayaalaat kaa KHema taane
karb-e-taKHliiq sataa.e to Gazal ho jaa.e
Chandrabhan Khayal
Ghazal
Afqar Mohani
Ghazal
garche KHud haasil-e-taKHliiq hai par husn tiraa
baarhaa safha-e-hastii se miTaataa hai mujhe
Shariq Jamal
Ghazal
qadam qadam me.n hamaare hai jazba-e-taKHliiq
vahii.n ubhaar dii manzil jahaa.n se guzre hai.n
Shifa Gwaliari
Ghazal
arz-e-taKHliiq thii sunsaan tabhii ko.ii KHayaal
ik baguulaa saa sar-e-raahguzar ban ke uThaa
Shehzad Anjum Burhani
Ghazal
maut hai jur.at-e-iz.haar kii pazmurdaa-labii
saaz-e-taKHliiq lab-e-arz-e-hunar meraa hai
Waheed Akhtar
Ghazal
muntazir hai.n ki ko.ii tesha-e-taKHliiq uThaa.e
kitne asnaam abhii dafn hai.n kohsaaro.n me.n