parda chehre se haTae to ghazal ho jae
parda chehre se haTā.e to ġhazal ho jaa.e
zindagī sāmne aa.e to ġhazal ho jaa.e
sard saḌkoñ pe sisakte hue sannāToñ kā
dard jab dil meñ samā.e to ġhazal ho jaa.e
soz har lafz ke siine meñ nihāñ hai ab bhī
ḳhāmushī saaz uThā.e to ġhazal ho jaa.e
shahr-e-ehsās agar narm lab-o-lahje meñ
dāstāñ apnī sunā.e to ġhazal ho jaa.e
din ke hangāmoñ meñ gum-karda har ik fikr mirī
shab kī āġhosh meñ aa.e to ġhazal ho jaa.e
kab se baiThā huuñ ḳhayālāt kā ḳhema taane
karb-e-taḳhlīq satā.e to ġhazal ho jaa.e
shām-e-ġham jām-ba-kaf hai to is 'ālam meñ 'ḳhayāl'
hosh bhī haath milā.e to ġhazal ho jaa.e
parda chehre se haTae to ghazal ho jae
zindagi samne aae to ghazal ho jae
sard saDkon pe sisakte hue sannaTon ka
dard jab dil mein samae to ghazal ho jae
soz har lafz ke sine mein nihan hai ab bhi
KHamushi saz uThae to ghazal ho jae
shahr-e-ehsas agar narm lab-o-lahje mein
dastan apni sunae to ghazal ho jae
din ke hangamon mein gum-karda har ek fikr meri
shab ki aaghosh mein aae to ghazal ho jae
kab se baiTha hun KHayalat ka KHema tane
karb-e-taKHliq satae to ghazal ho jae
sham-e-gham jam-ba-kaf hai to is 'alam mein 'KHayal'
hosh bhi hath milae to ghazal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.