SEARCH RESULTS
Showing search results for "giraanii"
Ghazal MATCHES FOR "giraanii"
Ghazal
suurat to bhuul baiThaa huu.n aavaaz yaad hai
ik umr aur zehn giraanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Ghazal
mai.n sochtaa huu.n ko.ii aur kaarobaar karuu.n
kitaab kaun KHariidegaa is giraanii me.n
Rahat Indori
Ghazal
kuchh had se ziyaada thaa hame.n shauq-e-mohabbat
aur ham hii mohabbat kii giraanii me.n mare hai.n
Ejaaz tawakkal
Ghazal
giraanii-e-shab-e-hijraa.n do-chand kyaa karte
ilaaj-e-dard tire dardmand kyaa karte
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
kaTte hii sa.ng-e-lafz giraanii nikal pa.De
shiisha uThaa ki juu-e-ma.aanii nikal pa.De
Iqbal Sajid
Ghazal
ye baar-e-Gam-e-ishq samaayaa hai ki 'naasiKH'
hai koh se dah-chand giraanii mire dil kii
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
huu.n giraftaar-e-kamii.n-gaah-e-taGaaful ki jahaa.n
KHvaab sayyaad se parvaaz-e-giraanii maa.nge
Mirza Ghalib
Ghazal
raa.egaanii se zaraa aage nikal aa.e hai.n ham
is dafa to kuchh giraanii bhii hai arzaanii ke saath
Zafar Iqbal
Ghazal
husn har gaam pe qaa.em kare ik taaza hijaab
ishq parde kii ye diivaar giraanii maa.nge
Nushur Wahidi
Ghazal
auro.n se to giraanii yak-laKHt uTh ga.ii hai
ai 'dard' apne dil ke gar baar hai.n to ham hai.n
Khwaja Meer Dard
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ba-fareb-e-aashnaa.ii ba-KHayaal-e-be-vafaa.ii
na rakh aap se ta'alluq magar ek bad-gumaanii
Mirza Ghalib
Ghazal
log arzaa.n hu.e jaate hai.n yahaa.n
ba.Dhtii jaatii hai giraanii phir bhii
Ambareen Haseeb ambar
Ghazal
kis ko shab-e-hijraa.n kii giraanii kaa ho ehsaas
jab din cha.Dhe baazaar me.n taaraa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
hai baab-e-shahr-e-murda guzar-gaah-e-baad-e-shaam
mai.n chup huu.n is jagah kii giraanii ko dekh kar
Muneer Niyazi
Ghazal
avaamunnaas ko aise dabochaa hai giraanii ne
ki jaise cat ke panje me.n ko.ii rat hotaa hai