SEARCH RESULTS
Showing search results for "kulaah"
Ghazal MATCHES FOR "kulaah"
Ghazal
tire javaahir-e-turf-e-kulah ko kyaa dekhe.n
ham auj-e-taala-e-laal-o-gohar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
ye ab jo sar hai.n KHamiida kulaah kii KHaatir
ye aib bhii to ham ahl-e-hunar se niklaa thaa
Ahmad Faraz
Ghazal
bikhar chukaa hai magar muskuraa ke miltaa hai
vo rakh rakhaa.o abhii mere kaj-kulaah me.n hai
Parveen Shakir
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
jo mansabo.n ke pujaarii pahan ke aate hai.n
kulaah tauq se bhaarii pahan ke aate hai.n
Rahat Indori
Ghazal
mai.n sar-barahna rahaa phir bhii sar-kashiida rahaa
kabhii kulaah se tauqiir-e-qad nahii.n maa.ngii
Ahmad Faraz
Ghazal
barahna sar hai to azm-e-buland paidaa kar
yahaa.n faqat sar-e-shaahii.n ke vaaste hai kulaah
Allama Iqbal
Ghazal
Ahmad Mushtaq
Ghazal
sar par havaa-e-zulm chale sau jatan ke saath
apnii kulaah kaj hai usii baa.nkpan ke saath
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
hujuum-e-dahr me.n badlii na ham se vaz-e-KHiraam
girii kulaah ham apne hii baa.nkpan me.n rahe
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
sar-barahna majnuu.n pe aashiyaa.n hai taaj
na rakkhe sar pe jo faGfuur kii kulaah mile
Dagh Dehlvi
Ghazal
jeb-e-niyaaz-e-ishq nishaa.n-daar-e-naaz hai
aa.iina huu.n shikastan-e-tarf-e-kulaah kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ek mai.n bhii huu.n kulah-daaro.n ke biich
'miir' saahab ke parastaaro.n ke biich
Obaidullah Aleem
Ghazal
shaahaan-e-kaj-kulaah zamii.n-bos ho ga.e
tevar magar vahii hai.n mire sar ke dekh lo
Dil Ayubi
Ghazal
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
ab haath hamaare hai inaa.n raKHsh-e-junuu.n kii
ab sar pe hamaare kulah-e-sa.ng-e-butaa.n hai
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
rahtaa thaa kaj-kulaah amiiro.n ke darmiyaa.n
yaksar liye hu.e miraa kirdaar 'mus.hafii'
Habib Jalib
Ghazal
phe.nk kar sub.ha o sajjaada o dastaar o kulaah
ba rabaab o daf o tambuura o paimaana chale.n