SEARCH RESULTS
Showing search results for "lapet"
Ghazal MATCHES FOR "lapet"
Ghazal
safed sang kii chaadar lapeT kar mujh par
fasiil-e-shahr pe kis ne sajaa diyaa mujh ko
Nazeer Baaqri
Ghazal
duniyaa ko kuchh KHabar nahii.n kyaa haadisa hu.aa
phe.nkaa thaa us ne sang gulo.n me.n lapeT ke
Shakeb Jalali
Ghazal
zulfo.n ko be-KHudii kii ridaa me.n lapeT de
saaqii pa.e-shabaab ki mausam KHaraab hai
Saghar Siddiqui
Ghazal
har ek saaya-e-diivaar kii lapeT me.n hai
'suruur' aap hii bach kar nikal ga.e kaise
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
dikhaa rahaa hai KHariidaar ban ke aaj mujhe
jise lapeT ke rakkhuu.n vo thaan khii.nchtaa hai
Azhar Faragh
Ghazal
dil ko lapeT letaa hai ik reshmii.n KHayaal
jab bhii nigaah us nigah-e-narm se mile
Sameena Raja
Ghazal
mai.n us ke intizaar me.n baiThaa hii rah gayaa
kap.Do.n me.n rakh gayaa vo badan ko lapeT ke
Shahid Kabir
Ghazal
ye falsafe lapeT ke tum jeb me.n rakho
mai.n KHuub jaantaa huu.n mohabbat burii hai dost
Khan Janbaz
Ghazal
safiina KHud hii tiraa jaa lagegaa saahil se
havaa lapeT ke tho.Dii sii baadbaan me.n rakh
Mubarak Ansari
Ghazal
turra kii tarah se dil-e-aashiq ko pech me.n
kis kis lapeT se tirii dastaar ne kiyaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
yaad aa gayaa jo apnaa garebaa.n bahaar me.n
daaman se mu.nh lapeT liyaa aur ro liye
Saba Akbarabadi
Ghazal
phir us ne merii KHuu me.n mujhe qaid kar diyaa
ik KHvaab saa lapeT diyaa merii zaat par
Mohsin Asrar
Ghazal
qalam kii nok pe rakkhuu.ngaa is jahaan ko mai.n
zamii.n lapeT ke rakh duu.n ki aasmaan ko mai.n
Mumtaz Gurmani
Ghazal
sotaa rahaa mai.n KHauf kii chaadar lapeT kar
aaseb chiiKHte rahe KHaalii makaan se
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
mumkin hai ko.ii haath samundar lapeT de
kashtii me.n sau shigaaf ho.n la.ngar magar uThaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
bha.nvar lapeT ke niiche utar gayaa shaayad
abhii vo shaam se pahle nadii pe baiThaa thaa