SEARCH RESULTS
Showing search results for "mallaah"
Ghazal MATCHES FOR "mallaah"
Ghazal
mallaah kah rahaa hai ki saahil hai bas qariib
lekin mujhe pata hai ki kashtii bha.nvar me.n hai
Jahangeer nayab
Ghazal
allaah tere saath hai mallaah ko na dekh
ye TuuTii phuuTii naav samundar me.n Daal de
Kaif Bhopali
Ghazal
yahii.n pahu.nch ke mai.n Duubaa huu.n baarhaa mallaah
yahaa.n se aage udhar duur naav aur ba.Dhaa
Aziz Nabeel
Ghazal
chale mallaah kashtii giit ummiide.n
ki jaise sab ko saahil ne bulaayaa thaa
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
Duubte mallaah tinko.n se madad maa.ngaa kiye
kashtiyaa.n Duubii.n to thii har mauj-e-dariyaa ajnabii
Talib Johari
Ghazal
kashtii kaa ye hachkolaa ye mallaah kaa chakkar
kashtii ko nahii.n mujh ko Dubone ke liye hai
Haider Qureshi
Ghazal
Shakeel Gwaliari
Ghazal
draupadii ko to bachaayaa thaa kanhaiyaa tuu ne
kyo.n na mallaah kii beTii ko bachaayaa laala
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
Ghazal
mai.n bhii dekhuu.n to sahii biphre samundar kaa mizaaj
ab ye mallaah safiino.n se pare haT jaa.e.n
Mumtaz Gurmani
Ghazal
mai.n vo gauhar huu.n jo siine me.n dabaa huu.n us ke
ko.ii mallaah samundar se nikaale mujh ko
Ahmed Arsalan
Ghazal
mai.n is tarah se kuucha-e-vahshat kii ho ga.ii
mallaah jis tarah se samundar ke ho ga.e
Afroz Rizvi
Ghazal
ma.e musaafir-o-mallaah naav Duub ga.ii
'navaaz' naqs rakhaa jaise baadbaan me.n thaa
Nawaz Asimi
Ghazal
jab beach bha.nvar ziist kii kashtii kabhii Duube
mallaah bano aur mujhe patvaar karo tum
Raziya Subhan
Ghazal
ye maanaa ban chukaa hai pul nadii par
magar mallaah se uljhaa na jaa.e
Raghunandan Sharma Danish
Ghazal
mallaah banaa thaa to adaa farz bhii kartaa
kyaa tuu ne safiina hii Dubonaa thaa hamaaraa