SEARCH RESULTS
Showing search results for "mukhaatab"
Ghazal MATCHES FOR "mukhaatab"
Ghazal
haal kahnaa hai kisii se to muKHaatab hai ko.ii
kitnii dilchasp hu.aa kartii hai.n baate.n aksar
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
har aadmii nahii.n shaa.ista-e-rumuuz-e-suKHan
vo kam-suKHan ho muKHaatab to ham-kalaam kare.n
Nasir Kazmi
Ghazal
duniyaa ne tujh ko meraa muKHaatab samajh liyaa
mahv-e-suKHan thaa mai.n to sadaa apne aap se
Himayat Ali Shayar
Ghazal
jab muKHaatab kiyaa qaatil ko to qaatil likhkhaa
lakhnavii ban ke masiihaa nahii.n likhkhaa mai.n ne
Anwar Jalalpuri
Ghazal
Saba Akbarabadi
Ghazal
mere ash.aar vo sun sun ke maze letaa rahaa
mai.n usii se huu.n muKHaatab vo ye samjhaa bhii nahii.n
Kaleem Aajiz
Ghazal
mai.n kahaanii ko sunaate hu.e KHud hii royaa
jab ki qisse ke muKHaatab ko rulaanaa thaa mujhe
Tousief Tabish
Ghazal
ham-suKHan tere muKHaatab kaa pataa kaise karuu.n
bolnaa thaa kyaa tujhe aur boltaa jaataa hai kyaa
Shaheen Abbas
Ghazal
ek tasviir se rahtaa huu.n muKHaatab ghanTo.n
jab bhii tanhaa.ii ke haalaat me.n Dar lagtaa hai
Ashu Mishra
Ghazal
asar hu.aa to ye taqriir kaa kamaal nahii.n
miraa KHuluus muKHaatab thaa mai.n kahaa.n bolaa
Hafeez Merathi
Ghazal
tum ne kis kaifiyat me.n muKHaatab kiyaa
kaif detaa rahaa lafz-e-'tuu' der tak
Ambareen Haseeb ambar
Ghazal
suurat-e-haalaat hii par baat karnii hai agar
phir muKHaatab ho ko.ii bhii anjuman ko.ii bhii ho
Basir Sultan Kazmi
Ghazal
kaise dil-e-tanhaa ne banaa.e hai.n muKHaatab
diivaaro.n se shikva dar-e-zindaa.n se gila hai
Saba Akbarabadi
Ghazal
maa.il thii mai.n KHud us kii taraf kyaa pataa us ko
vo mujh se muKHaatab hu.aa ruumaal giraa kar
Zahra Qarar
Ghazal
ham dil ko in alfaaz se karte hai.n muKHaatab
ai jalva-gah-e-anjuman-aaraa-e-qayaamat
Fani Badayuni
Ghazal
is tarah mujh se muKHaatab hai zamaana jaise
hosh kii fikr bhii ik farz ho diivaane kaa
Basit Bhopali
Ghazal
jaane ham kis se muKHaatab hai.n bharii mahfil me.n
baat dil me.n jo na utre hai asar ko tarse
Shaista Mufti
Ghazal
Gair se bhii vo muKHaatab hai.n to ummiid sii hai
baat ham se na sahii zikr hamaaraa kar le.n
Muhammad Rashid Athar
Ghazal
anjuman kii anjuman mujh se muKHaatab ho ga.ii
aap ne dekhaa thaa shaayad be-niyaazaana mujhe