SEARCH RESULTS
Showing search results for "rone"
Ghazal MATCHES FOR "rone"
Ghazal
ham ishq ke maaro.n kaa itnaa hii fasaanaa hai
rone ko nahii.n ko.ii ha.nsne ko zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
mujh ko rone kaa saliiqa bhii nahii.n hai shaayad
log ha.nste hai.n mujhe dekh ke aate jaate
Rahat Indori
Ghazal
ishq me.n Gairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
varna kyaa baat thii kis baat ne rone na diyaa
Sudarshan Faakir
Ghazal
qurbato.n me.n bhii judaa.ii ke zamaane maa.nge
dil vo be-mehr ki rone ke bahaane maa.nge
Ahmad Faraz
Ghazal
itnaa to zindagii me.n kisii ke KHalal pa.De
ha.nsne se ho sukuun na rone se kal pa.De
Kaifi Azmi
Ghazal
rone lagtaa huu.n mohabbat me.n to kahtaa hai ko.ii
kyaa tire ashko.n se ye jangal haraa ho jaa.egaa
Ahmad Mushtaq
Ghazal
ha.nsne nahii.n detaa kabhii rone nahii.n detaa
ye dil to ko.ii kaam bhii hone nahii.n detaa
Abbas Tabish
Ghazal
jii bhar ke dil kii maut pe rone diyaa use
pursaa diyaa na sabr kii talqiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Ghazal
bahaana Dhuu.nDte rahte hai.n ko.ii rone kaa
hame.n ye shauq hai kyaa aastii.n bhigone kaa
Javed Akhtar
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
is ishq kii talaafi-e-maafaat dekhnaa
rone kii hasrate.n hai.n jab aa.nsuu nahii.n rahe
Jigar Moradabadi
Ghazal
ha.nste hu.e chehro.n se hai baazaar kii ziinat
rone kii yahaa.n vaise bhii fursat nahii.n miltii
Nida Fazli
Ghazal
rone pe apne un ko bhii afsurda dekh kar
yuu.n ban rahaa huu.n jaise ab aa.ii ha.nsii mujhe