SEARCH RESULTS
Showing search results for "saif"
Ghazal MATCHES FOR "saif"
Ghazal
mirii daastaan-e-hasrat vo sunaa sunaa ke ro.e
mire aazmaane vaale mujhe aazmaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Ghazal
aah taskiin bhii ab 'saif' shab-e-hijraa.n me.n
aksar auqaat ba.Dii der ke baa'd aa.ii hai
Saifuddin Saif
Ghazal
'saif' ye din to qayaamat kii tarah guzraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa
Saifuddin Saif
Ghazal
qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaa.o
qazaa se aa.nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaa.o
Saifuddin Saif
Ghazal
dilo.n ko to.Dne vaalo tumhe.n kisii se kyaa
milo to aa.nkh churaa lo tumhe.n kisii se kyaa
Saifuddin Saif
Ghazal
zindagii 'saif' liye qaafila armaano.n kaa
maut kii raat se benaam-o-nishaa.n guzrii hai
Saifuddin Saif
Ghazal
jaate hii un ke 'saif' shab-e-Gam ne aa liyaa
ruKHsat hu.aa vo chaa.nd sitaare chale ga.e
Saifuddin Saif
Ghazal
hame.n KHabar hai vo mehmaan ek raat kaa hai
hamaare paas bhii saamaan ek raat kaa hai
Saifuddin Saif
Ghazal
'saif' is daur me.n itnaa bhii Ganiimat samjho
qaid me.n rauzan-e-diivaar bhii dar hotaa hai
Saifuddin Saif
Ghazal
'saif' ye dard se ma.amuur KHaraabe dil ke
kitnii mushkil se basaa.e hai.n tumhe.n kyaa ma.aluum