chandni raat baDi der ke baad aai hai
chāñdnī raat baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
lab pe ik baat baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
jhuum kar aaj ye shab-rañg laTeñ bikhrā de
dekh barsāt baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
dil-e-majrūh kī ujḌī huī ḳhāmoshī se
bū-e-naġhmāt baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
aaj kī raat vo aa.e haiñ baḌī der ke ba.ad
aaj kī raat baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
aah taskīn bhī ab 'saif' shab-e-hijrāñ meñ
akasr auqāt baḌī der ke ba.ad aa.ī hai
chandni raat baDi der ke baad aai hai
lab pe ek baat baDi der ke baad aai hai
jhum kar aaj ye shab-rang laTen bikhra de
dekh barsat baDi der ke baad aai hai
dil-e-majruh ki ujDi hui KHamoshi se
bu-e-naghmat baDi der ke baad aai hai
aaj ki raat wo aae hain baDi der ke baad
aaj ki raat baDi der ke baad aai hai
aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijran mein
akasr auqat baDi der ke baad aai hai
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 28)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.