SEARCH RESULTS
Showing search results for "tajaahul"
Ghazal MATCHES FOR "tajaahul"
Ghazal
is ishaare ke fidaa aise tajaahul ke nisaar
maar kar aa.nkh vo mu.nh pher liyaa karte hai.n
Ahmad Husain Mail
Ghazal
ab us ke tarz-e-tajaahul ko kyaa kahe ko.ii
vo be-KHabar to nahii.n phir bhii be-KHabar saa lage
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
kyaa tajaahul se ye kahtaa hai kahaa.n rahte ho
tire kuuche me.n sitamgaar tire kuuche me.n
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
tajaahul apnii jafaa.o.n pe aur mahshar me.n
KHudaa ke saamne kahte ho tum KHayaal nahii.n
Qamar Jalalvi
Ghazal
kyaa tajaahul hai ki vo farmaate hai.n aGyaar se
mai.n nahii.n pahchaantaa mutlaq ki 'aaGaa' kaun hai
Aagha Akbarabadi
Ghazal
gum-karda sukuu.n paa ke mujhe apnii galii me.n
kahnaa vo tajaahul se kidhar yaad to hogaa
Nihal Sevharvi
Ghazal
vo tajaahul hai jo mujh se is tarah mahfil me.n ab
us kii is harakat ko chupke se chhupaanaa chaahiye
Gurbir Chhaebrra
Ghazal
yuu.n to na tasaahul na taGaaful na tajaahul
kuchh aur hai us kaafir-e-tannaaz kaa aalam
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
yaad aataa hai vo andaaz-e-tajaahul ai dost
baat auro.n se magar ruu-e-suKHan dil kii taraf
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
kare.n jo aap tajaahul to kyuu.n na samjhaa.uu.n
kare huzuur kahaa.n tak vafaa-shi.aar lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
Ali Jawad Zaidi
Ghazal
mujhe ye tarz-e-tajaahul ajiib lagtaa hai
vo kah rahe hai.n kahii.n aap se milaa huu.n mai.n
Rafi Badayuni
Ghazal
tajaahul ne un ke hame.n maar Daalaa
jab aate hai.n kahte hai.n kyaa ho rahaa hai