SEARCH RESULTS
Showing search results for "viiro.n"
Ghazal MATCHES FOR "viiro.n"
Ghazal
viiraa.n hai mai-kada KHum-o-saaGar udaas hai.n
tum kyaa ga.e ki ruuTh ga.e din bahaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaa.e hai
pindaar kaa sanam-kada viiraa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
ye nayaa shahr to hai KHuub basaayaa tum ne
kyuu.n puraanaa hu.aa viiraan zaraa dekh to lo
Javed Akhtar
Ghazal
ye dard kii tanhaa.iyaa.n ye dasht kaa viiraa.n safar
ham log to uktaa ga.e apnii sunaa aavaargii
Mohsin Naqvi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
gho.nsle viiraan hai.n ab vo parinde hii kahaa.n
ik basere ke liye jo aab-o-daana chho.D de.n
Waseem Barelvi
Ghazal
Jaleel 'Aali'
Ghazal
Mohsin Naqvi
Ghazal
ek uj.De hu.e viiraan kha.nDar me.n 'aazar'
naa-munaasib hai magar jaane ko jii chaahtaa hai
Kafeel Aazar Amrohvi
Ghazal
viiraa.n hai.n sahn o baaG bahaaro.n ko kyaa hu.aa
vo bulbule.n kahaa.n vo taraane kidhar ga.e
Akhtar Shirani
Ghazal
Ameer Imam
Ghazal
ho ga.ii duur an-ginat viiraa.n guzargaaho.n kii koft
ek bastii se guzarne me.n vo aasaanii hu.ii
Jamal Ehsani
Ghazal
bichh.Daa kuchh is adaa se ki rut hii badal ga.ii
ik shaKHs saare shahr ko viiraan kar gayaa
Khalid Sharif
Ghazal
ghar hamaaraa jo na rote bhii to viiraa.n hotaa
bahr gar bahr na hotaa to bayaabaa.n hotaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ab aa.e ho to yahaa.n kyaa hai dekhne ke liye
ye shahr kab se hai viiraa.n vo log kab ke ga.e