SEARCH RESULTS
Showing search results for "zamaana"
Ghazal MATCHES FOR "zamaana"
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Ghazal
guzar gayaa vo zamaana kahuu.n to kis se kahuu.n
KHayaal dil ko mire sub.h o shaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
ik zamaana thaa ki sab ek jagah rahte the
aur ab ko.ii kahii.n ko.ii kahii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Ghazal
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Ghazal
zamaana vaardaat-e-qalb sun.ne ko tarastaa hai
isii se to sar aa.nkho.n par miraa diivaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
tumhaare bas me.n agar ho to bhuul jaa.o mujhe
tumhe.n bhulaane me.n shaayad mujhe zamaana lage
Qaisarul Jafri
Ghazal
pahu.nchaa hai buzurgo.n ke bayaano.n se jo ham tak
kyaa baat hu.ii kyuu.n vo zamaana nahii.n aataa
Waseem Barelvi
Ghazal
paro.n ko khol zamaana u.Daan dekhtaa hai
zamii.n pe baiTh ke kyaa aasmaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
chalaa thaa zikr zamaane kii bevafaa.ii kaa
so aa gayaa hai tumhaaraa KHayaal vaise hii
Ahmad Faraz
Ghazal
payaambar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte
Haidar Ali Aatish
Ghazal
chale laakh chaal duniyaa ho zamaana laakh dushman
jo tirii panaah me.n ho use kyaa kisii se Darnaa