SEARCH RESULTS
Showing search results for "zubaan"
Ghazal MATCHES FOR "zubaan"
Ghazal
Mahshar Badayuni
Ghazal
Dartaa huu.n us bhavo.n ke ishaarat se.n dam-ba-dam
hotaa nahii.n hai saif-zubaa.n kaa suKHan Galat
Siraj Aurangabadi
Ghazal
baato.n baato.n me.n mire sar ko kaTaa degaa raqiib
is qadar saif-zubaa.n thaa mujhe ma.aluum na thaa
Baqaullah 'Baqa'
Ghazal
zubaa.n-buriidaa shikastaa-badan sahii phir bhii
kha.De hu.e hai.n aur aavaaz bhii nikaltii hai
Zafar Ajmi
Ghazal
ho na ho tuu ne hii kaaTii hai zubaan-e-jahl 'yaas'
duusraa tere sivaa is fan kaa maahir kaun thaa
Noor Mohammad Yaas
Ghazal
ye kyaa azaab hai sab apne aap me.n gum hai.n
zabaa.n milii hai magar ham-zabaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Ghazal
ik shaKHs kar rahaa hai abhii tak vafaa kaa zikr
kaash us zabaa.n-daraaz kaa mu.nh noch le ko.ii
Jaun Eliya
Ghazal
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Ghazal
jo ik KHudaa nahii.n miltaa to itnaa maatam kyuu.n
yahaa.n to ko.ii miraa ham-zabaa.n nahii.n miltaa
Kaifi Azmi
Ghazal
tumhe.n pataa to chale be-zabaan chiiz kaa dukh
mai.n ab charaaG kii lau hii nahii.n banaa.uu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
maanind-e-KHaama terii zabaa.n par hai harf-e-Gair
begaana shai pe naazish-e-bejaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Ghazal
zabaan-e-KHaar se niklii sadaa-e-bismillaah
junuu.n ko jab sar-e-shoriida par savaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
vahii ik KHamosh naGma hai 'shakiil' jaan-e-hastii
jo zabaan par na aa.e jo kalaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Ghazal
pattharo.n me.n bhii zabaa.n hotii hai dil hote hai.n
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaa kar dekho