aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ",lPC"
kabhii na khii.nchaa sharaarat se jis kaa aa.nchal bhiirachaa sakii mirii aa.ankho.n me.n jo na kaajal bhiivo maa.n jo mere liye titliyaa.n paka.D na sakiijo bhaagte hu.e baazuu mire jaka.D na sakiiba.Dhaayaa pyaar kabhii kar ke pyaar me.n na kamiijo mu.nh banaa ke kisii din na mujh se ruuTh sakiijo ye bhii kah na sakii jaa na boluu.ngii tujh sejo ek baar KHafaa bhii na ho sakii mujh sevo jis ko juuThaa lagaa mu.nh kabhii dikhaa na sakaakasaafato.n pe mirii jis ko pyaar aa na sakaajo miTTii khaane pe mujh ko kabhii na piiT sakiina haath thaam ke mujh ko kabhii ghasiiT sakiivo maa.n jo guftuguu kii rau me.n sun ke merii ba.Dkabhii jo pyaar se mujh ko na kah sakii ghaama.Dsharaarato.n se mirii jo kabhii ulajh na sakiihimaaqato.n kaa mirii falsafa samajh na sakiivo maa.n kabhii jise chau.nkaane ko mai.n luk na sakaamai.n raah chhe.nkne ko jis ke aage ruk na sakaajo apne haath se bahruup mere bhar na sakiijo apnii aa.ankho.n ko aa.iina meraa kar na sakiigale me.n Daalii na baaho.n kii phuul-maalaa bhiina dil me.n lauh-e-jabii.n se kiyaa ujaalaa bhiivo maa.n kabhii jo mujhe baddhiyaa.n pahnaa na sakiikabhii mujhe na.e kap.Do.n se jo sajaa na sakiivo maa.n na jis se la.Dakpan ke jhuuT bol sakaana jis ke dil ke daraa.n kunjiyo.n se khol sakaavo maa.n mai.n paise bhii jis ke kabhii churaa na sakaasazaa se bachne ko jhuuTii qasam bhii khaa na sakaa
1ye shaam ik aa.iina-e-niil-guu.n ye nam ye mahakye manzaro.n kii jhalak khet baaG dariyaa gaa.nvvo kuchh sulagte hu.e kuchh sulagne vaale alaavsiyaahiyo.n kaa dabe-paa.nv aasmaa.n se nuzuullaTo.n ko khol de jis tarah shaam kii deviipuraane vaqt ke bargad kii ye udaas jaTaa.e.nqariib o duur ye go dhuul kii ubhartii ghaTaa.e.nye kaa.enaat kaa Thahraa.o ye athaah sukuutye niim-tiirah fazaa roz-e-garm kaa taabuutdhu.aa.n dhu.aa.n sii zamii.n hai ghulaa ghulaa saa falak2ye chaa.ndnii ye havaa.e.n ye shaaKH-e-gul kii lachakye daur-e-baada ye saaz-e-KHamosh fitrat kesunaa.ii dene lagii jagmagaate siino.n me.ndilo.n ke naazuk o shaffaaf aabgiino.n me.ntire KHayaal kii pa.Dtii hu.ii kiran kii khanak3ye raat chhantii havaa.o.n kii so.ndhii so.ndhii mahakye khet kartii hu.ii chaa.ndnii kii narm damaksugandh raat kii raanii kii jab machaltii haifazaa me.n ruuh-e-tarab karvaTe.n badaltii haiye ruup sar se qadam tak hasiin jaise gunaahye aarizo.n kii damak ye fusuun-e-chashm-e-siyaahye dhaj na de jo ajantaa kii san.ato.n ko panaahye siina pa.D hii ga.ii dev lok kii bhii nigaahye sar-zamiin se aakaash kii parastish-gaahutaarte hai.n tirii aartii sitaara o maahsajal badan kii bayaa.n kis tarah ho kaifiyyatsarasvatii ke bajaate hu.e sitaar kii gatjamaal-e-yaar tire gulsitaa.n kii rah rah kejabiin-e-naaz tirii kahkashaa.n kii rah rah kedilo.n me.n aa.iina-dar-aa.iina suhaanii jhalak4ye chhab ye ruup ye joban ye saj ye dhaj ye lahakchamakte taaro.n kii kirno.n kii narm narm phuvaarye rasmasaate badan kaa uThaan aur ye ubhaarfazaa ke aa.iina me.n jaise lahlahaa.e bahaarye be-qaraar ye be-iKHtiyaar josh-e-numuudki jaise nuur kaa favvaara ho shafaq-aaluudye jalve paikar-e-shab-taab ke ye bazm-e-shohuudye mastiyaa.n ki mai-e-saaf-o-durd sab be-buudKHajil ho laal-e-yaman uzv uzv kii vo Dalak5bas ik sitaara-e-shi.ngaraf kii jabii.n pe jhamakvo chaal jis se labaalab gulaabiyaa.n chhalke.nsakuu.n-numaa KHam-e-abru ye adh-khulii.n palke.nhar ik nigaah se aiman kii bijliyaa.n lapke.nye aa.nkh jis me.n ka.ii aasmaa.n dikhaa.ii pa.De.nu.Daa de.n hosh vo kaano.n kii saada saada lave.nghaTaa.e.n vajd me.n aa.e.n ye gesu.o.n kii laTak6ye kaif-o-ra.ng-e-nazaara ye bijliyo.n kii lapakki jaise krishn se raadhaa kii aa.nkh ishaare karevo shoKH ishaare ki rabbaaniyat bhii jaa.e jhapakjamaal sar se qadam tak tamaam sho.ala haisukuun jumbish o ram tak tamaam sho.ala haimagar vo sho.ala ki aa.nkho.n me.n Daal de ThanDak7ye raat nii.nd me.n Duube hu.e se hai.n diipakfazaa me.n bujh ga.e u.D u.D ke jugnu.o.n ke sharaarkuchh aur taaro.n kii aa.nkho.n kaa ba.Dh chalaa hai KHumaarfasurda chhiTkii hu.ii chaa.ndnii kaa dhundlaa Gubaarye bhiigii bhiigii uudaahaT ye bhiigaa bhiigaa nuurki jaise chashma-e-zulmaat me.n jale kaafuurye Dhaltii raat sitaaro.n ke qalb kaa ye gudaazKHunuk fazaa me.n tiraa shabnamii tabassum-e-naazjhalak jamaal kii ta.abiir KHvaab aa.iina-saazjahaa.n se jism ko dekhe.n tamaam naaz-o-niyaazjahaa.n nigaah Thahar jaa.e raaz-andar-raazsukuut-e-niim-shabii lahlahe badan kaa nikhaarki jaise nii.nd kii vaadii me.n jaagtaa sansaarhai bazm-e-maah ki parchhaa.iyo.n kii bastii haifazaa kii oT se vo KHaamushii barastii haiki buu.nd buu.nd se paidaa ho gosh o dil me.n khanak8kisii KHayaal me.n hai Garq chaa.ndnii kii chamakhavaa.e.n nii.nd ke kheto.n se jaise aatii ho.nhayaat o maut me.n sargoshiyaa.n sii hotii hai.nkaro.Do.n saal ke jaage sitaare nam-diidasiyaah gesu.o.n ke saa.np niim-KHvaabiidaye pichhlii raat ye rag rag me.n narm narm kasak
naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labdil tamannaa.o.n ke be-paayaa.n alaav ke qariibdil mire sahraa-navard-e-piir dilreg ke dil-shaad shahrii reg tuuaur reg hii terii talabreg kii nik.hat tire paikar me.n terii jaa.n me.n haireg sub.h-e-iid ke maanind zartaab-o-jaliilreg sadiyo.n kaa jamaaljashn-e-aadam par bichha.D kar milne vaalo.n kaa visaalshauq ke lamhaat ke maanind aazaad-o-aziimreg naGma-zanki zarre reg-zaaro.n kii vo paazeb-e-qadiimjis pe pa.D saktaa nahii.n dast-e-la.iimreg-e-sahraa zar-garii kii ek kii lahro.n se duurchashma-e-makr-o-riyaa shahro.n se duurreg shab-bedaar hai suntii hai har jaabir kii chaapreg shab-bedaar hai nigaraa.n hai maanind-e-naqiibdekhtii hai saaya-e-aamir kii chaapreg har ayyaar Gaarat-gar kii mautreg istibdaad ke tuGyaa.n ke shor-o-shar kii mautreg jab uThtii hai u.D jaatii hai har faateh kii nii.ndreg ke nezo.n se zaKHmii sab shahanshaaho.n ke KHvaabreg ai sahraa kii regmujh ko apne jaagte zarro.n ke KHvaabo.n kiina.ii ta.abiir dereg ke zarro.n ubhartii sub.h tumaa.o sahraa kii hado.n tak aa gayaa roz-e-tarabdil mire sahraa-navard-e-piir dilaa chuum reghai KHayaalo.n ke parii-zaado.n se bhii ma.asuum regreg-e-raqsaa.n maah-o-saal nuur tak raqsaa.n raheus kaa abresham mulaa.em narm-KHuu KHandaa.n rahedil mire sahraa-navard-e-piir dilye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaavraah gum kar duu.n kii mash.al is ke lab par aa.o aa.otere maazii ke KHazaf rezo.n se jaagii hai ye aagaag kii qurmuz zabaa.n par imbisaat-e-nau ke raagdil mire sahraa-navard-e-piir dilsargiraanii kii shab-e-rafta se jaagkuchh sharar aaGosh sarsar me.n hai.n gumaur kuchh ziina ba ziina sho.alo.n ke miinaar par cha.Dhte hu.eaur kuchh tah me.n alaav kii abhiimuztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin kii tarahaag ziina aag ra.ngo.n kaa KHaziinaaag un lazzaat kaa sar-chashma haijis se letaa hai Gizaa ushshaaq ke dil kaa tapaakchob-e-KHushk anguur us kii mai hai aagsarsaraatii hai rago.n me.n iid ke din kii tarahaag kaahin yaad se utrii hu.ii sadiyo.n kii ye afsaana-KHvaa.naane vaale qarnahaa kii daastaane.n lab pe hai.ndil miraa sahraa-navard-e-piir dil sun kar javaa.naag aazaadii kaa dil-shaadii kaa naamaag paidaa.ish kaa afzaa.ish kaa naamaag ke phuulo.n me.n nasrii.n yaasman sumbul shafiiq-o-nastaranaag aaraa.ish kaa zebaa.ish kaa naamaag vo taqdiis dhul jaate hai.n jis se sab gunaahaag insaano.n kii pahlii saa.ns ke maanind ik aisaa karamumr kaa ik tuul bhii jis kaa nahii.n kaafii javaabye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hois laq-o-daq me.n nikal aa.e.n kahii.n se bhe.Diyeis alaav ko sadaa raushan rakhoreg-e-sahraa ko bashaarat ho ki zinda hai alaavbhe.Diyo.n kii chaap tak aatii nahii.naag se sahraa kaa rishta hai qadiimaag se sahraa ke Te.Dhe re.ngne vaalegirah-aaluud zholiida daraKHtjaagte hai.n naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labaur manaa lete hai.n tanhaa.ii me.n jashn-e-maahtaabun kii shaaKHe.n Gair-mara.ii tabl kii aavaaz par detii hai.n taalbiikH-o-bun se aane lagtii hai KHudaavandii jalaajil kii sadaaaag se sahraa kaa rishta hai qadiimrahravo.n sahraa-navardo.n ke liye hai rahnumaakaarvaano.n kaa sahaaraa bhii hai aagaur sahraa.o.n kii tanhaa.ii ko kam kartii hai aagaag ke chaaro.n taraf pashmiina-o-dastaar me.n lipTe hu.eafsaana-gojaise gird-e-chashm mizhgaa.n kaa hujuumun ke hairat-naak dilkash tajrabo.n sejab damak uThtii hai retzarra zarra bajne lagtaa hai misaal-e-saaz-e-jaa.ngosh-bar-aavaaz rahte hai.n daraKHtaur ha.ns dete hai.n apnii aarifaana be-niyaazii se kabhiiye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na horeg apnii KHalvat-e-be-nuur-o-KHud-bii.n me.n raheapnii yaktaa.ii kii tahsii.n me.n raheis alaav ko sadaa raushan rakhoye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hoasia africa pahnaa.ii kaa naambe-kaar pahnaa.ii kaa naameurope aur america daaraa.ii kaa naamtakraar-e-daaraa.ii kaa naammeraa dil sahraa-navard-e-piir diljaag uThaa hai mashriq-o-maGrib kii aisii yak-diliike kaarvaano.n kaa nayaa ruuyaa liyeyak-dilii aisii ki hogii fahm-e-insaa.n se varaayak-dilii aisii ki ham sab kah uThe.nis qadar ujlat na karizhdihaam-e-gul na bankah uThe.n hamtuu Gam-e-kul to na thiiab lazzat-e-kul bhii na banroz-e-aasaa.ish kii bedardii na banyak-dilii ban aisaa sannaaTaa na banjis me.n taabistaa.n kii dopahro.n kiibe-haasil kasaalat ke sivaa kuchh bhii na hois jafaa-gar yak-dilii ke kaarvaa.n yuu.n aa.e.ngedast-e-jaaduu-gar se jaise phuuT nikle ho.n tilismishq-e-haasil-KHez se yaa zor-e-paidaa.ii se jaise naa-gahaa.nkhul ga.e ho.n mashriq-o-maGrib ke jismjism sadiyo.n ke aqiimkaarvaa.n farKHanda-pai aur un kaa baarkiisa kiisa taKHt-e-jam aur taaj-e-kaikuuza kuuza fard kii satvat kii maijaama jaama roz-o-shab mehnat kaa KHainaGma naGma hurriyat kii garm laisaaliko firoz-baKHto aane vaale qaafloshahr se lauToge tum to paa.ogeret ke sarhad pe jo ruuh-e-abad KHvaabiida thiijaag uThii hai shikva-haa-e-nai se voret kii tah me.n jo sharmiilii sahar ro.iida thiijaag uThii hai hurriyat kii lai se voitnii doshiiza thii itnii mard-e-naa-diida thii sub.hpuuchh sakte the na us kii umr hamdard se ha.nstii na thiizarro.n kii ra.anaa.ii pe bhii ha.nstii na thiiek mahjuubaana be-KHabarii me.n ha.ns detii thii sub.hab manaatii hai vo sahraa kaa jalaaljaise izz-o-jal ke paa.nv kii yahii mehraab hozer-e-mehraab aa ga.ii ho us ko bedaarii kii raatKHud janaab-e-izz-o-jal se jaise umiid-e-zafaafsaare naa-karda gunaah is ke mu.aafsub.h-e-sahraa shaad-baadai uruus-e-izz-o-jal farKHanda ro taabinda khotuu ik aise hujra-e-shab se nikal kar aa.ii haidast-e-qaatil ne bahaayaa thaa jahaa.n har sej parsai.nka.Do.n taaro.n kaa raKHshanda lahuu phuulo.n ke paassub.h-e-sahraa sar mire zaanuu pe rakh kar daastaa.nun tamannaa ke shahiido.n kii na kahun kii niima-ras uma.ngo.n aarzuu.o.n kii na kahjin se milne kaa ko.ii imkaa.n nahii.nshahd teraa jin ko nashsh-e-jaa.n nahii.naaj bhii kuchh duur is sahraa ke paardev kii diivaar ke niiche nasiimroz-o-shab chaltii hai mub.ham KHauf se sahmii hu.iijis tarah shahro.n kii raaho.n par yatiimnaGma-bar-lab taaki un kii jaa.n kaa sannaaTaa ho duuraaj bhii is reg ke zarro.n me.n hai.naise zarre aap hii apne Ganiimaaj bhii is aag ke sho.alo.n me.n hai.nvo sharar jo us kii tah me.n par-buriida rah ga.emisl-e-harf naa-shuniida rah ga.esub.h-e-sahraa ai uruus-e-izz-o-jalaa ki un kii daastaa.n dohraa.e.n hamun kii izzat un kii azmat gaa.e.n hamsub.h ret aur aag ham sab kaa jalaalyak-dilii ke kaarvaa.n un kaa jamaalaa.ois tahliil ke halqe me.n ham mil jaa.e.naa.oshaad-baaG apnii tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav
'naziir' holii to hai har nagar me.n achchhii KHuubva-lek KHatm hu.aa aagare pe ye usluubkahaa.n hai.n aise sanam aur kahaa.n hai.n ye mahbuubjinho.n ke dekhe se aashiq kaa hove taaza quluubtirii niraalii hai yaa.n chaal-Dhaal holii me.n
bistar me.n leTe leTeus ne sochaa''mai.n moTaa hotaa jaataa huu.nkal mai.n apne niile suiT koalter karnedarzii ke haa.n de aa.uu.ngaanayaa suiT do-chaar mahiine baa'd sahii!darzii kii duukaan se lag karjo hotel haius hotel kiimachhlii testy hotii haikal khaa.uu.ngaalekin machhlii kii buu saaliihaatho.n me.n bas jaatii haikal saabun bhii laanaa haighar aateletaa aa.uu.ngaaab ke ''yardley'' laa.uu.ngaaoffice me.n kal kaam bahut haiboss agar naaraaz hu.aa todo din kii chhuTTii le luu.ngaaaur agar mood hu.aa tochhe ke show me.n''raam-aur-shyaam'' bhii dekh aa.uu.n gaapicture achchhii hai saaliinau se baaraclub ramiido din se luck achchhaa haikal bhii saaTh ruupe jiitaa thaaaaj bhii tiis ruupe jiitaa huu.naur ummiid haikal bhii jiit ke aa.uu.ngaabas ab nii.nd aa.e to achchhaakal bhiijiit kenii.nd aa.e toikkaa-dukkii nahla-dahlaii.nT kii begammachhlii kii buutaash ke pattejoker jokersuiT pahan karmoTaa-tag.Daa joker....itnaa bahut saa soch ke vosoyaa thaa magarphir na uThaa!!duusre din jabus kaa janaazadarzii kii duukaan ke paas se guzraa tohotel se machhlii kii buuduur duur tak aa.ii thii!!!
terii KHaak me.n basiimaa.n ke duudh kii mahaktere ruup me.n rachiisvarg lok kii jhalakham me.n hai.n kamii rahiitujh me.n kuchh kamii nahii.nai vatan kii sarzamii.n
zindagii ik ga.Driye kaa lok-giitzindagii aavaara la.Dko.n kaa dimaaGzindagii mahruumii-e-masruufiyatzindagii KHaana-badosho.n kaa faraaG
aa.ina dekhne kaa shauq hai vois kaa har shaKHs mubtalaa dekhaasaamne aa.ine ke ban-Than karham ne ahbaab ko kha.Daa dekhaako.ii muuchho.n pe taa.o detaa haiko.ii Daa.Dhii sa.nvaartaa dekhaako.ii kap.Do.n ko saaf kartaa haiko.ii mu.nh dekhtaa hu.aa dekhaashaana hai yaa barash hai yaa ruumaalhaath KHaalii na ek kaa dekhaashauq hai aam jaama-zebii kaajis ko dekhaa hai KHud-numaa dekhaadekhaa sab ne hii apnaa jism-o-libaaslek ye tarfa maajraa dekhaadekhne se kabhii nahii.n seriirose go chehra baarhaa dekhaaapnii suurat ke sab hai.n shaidaa.iisab ko apnaa farefta dekhaasuurat-e-zaahirii magar ai dostjis ne dekhii hai us ne kyaa dekhaadekhne vaalaa us ko kahte hai.njis ne baatin bhii barmalaa dekhaadil kaa aa.iina paas hai sab kesaaf aisaa kam aa.inaa dekhaamujh se puuchho to vo hai nek-nasiibjis ne ye aa.ina zaraa dekhaasuurat-e-haal hai KHabar paa.iiaur apnaa buraa bhalaa dekhaanutq o atvaar diin aur iimaa.nsab ko jaise hai.n barmalaa dekhaaaur phir le ke sa.ii kaa ruumaalnaqs jo jo ki jaa-ba-jaa dekhaaus kii is tarah se safaa.ii kiiki na aa.nkho.n ne phir zaraa dekhaaye hai aa.iina dekhnaa ai dostdekhaa is tarah to bajaa dekhaa
ujjal ujjal komal komal chamkiilaa chamkiilaa chaa.ndna.ii navelii dulhan jaisaa sharmiilaa sharmiilaa chaa.ndvo dekho vo muskaata bal khaataa le kar a.ng.Daa.iiik baadal kii oT se niklaa chanchal shoKH sajiilaa chaa.ndujlii ra.ngat goraa mukh.Daa us pe rupahlii hai poshaaktaaro.n ke jhurmuT me.n kaisaa lagtaa hai bha.Dkiila chaa.ndruup anuup kii naav pe baiThaa kirno.n kii patvaar liyeniil gagan me.n tair rahaa hai sundar chhail-chhabiilaa chaa.ndham bhii chor sipaahii luk-chhup aa.nkh michaulii khele.ngetaaro.n ke sang khel rahaa hai uu.nchaa niichaa Tiila chaa.ndammii meraa chaa.nd to dekho baaluu-shaahii jaisaa hainik.hat baajii kaa hai kaisaa ka.Dvaa aur kasiilaa chaa.ndkirno.n kii sii.Dhii ke sahaare chhat par to aa pahu.nchaa haiaa.ngan me.n paanii na giraa.o ho jaa.egaa giilaa chaa.ndchandaa maamuu.n chandaa maamuu.n kahte kahte mu.nh suukhephir bhii apne paas na aa.e ziddii aur haTiilaa chaa.ndmunnaa aaGuu.n aaGuu.n kar ke jab bhii apne paas bulaa.edham se aa.ngan me.n aa kuude 'aKHtar' ra.ng-ra.ngiilaa chaa.nd
laqq-o-daq sahraa me.n yaa maidaan me.nyaa arab ke garm registaan me.nsaya-afgan hai na vaa.n ko.ii chaTaansard paanii kaa na dariyaa kaa nishaanchilchilaatii dhuup hai aur chup havaavaa.n parinda bhii nahii.n par maartaatuu vahaa.n ke marhale kartaa hai taidin-ba-din aur hafta hafta pai-ba-paiqiimtii ashyaa hai.n terii pusht partaajiro.n kaa resham aur shaaho.n kaa zartoda toda tere uupar lad rahaahai bharaa goyaa jahaaz-e-pur-bahaachand hafte jab ki jaate hai.n guzaraur thakaa detaa hai raakib ko safaruu.nT! ghabraataa nahii.n tuu baar sedekhtaa hai us kii jaanib pyaar segoyaa kahtaa hai ki ai mere savaarek din tuu aur bhii himmat na haarhaa.n na be-dil ho na raste me.n ThiThaksaaf sar-chashma hai aage dhar lapakmujh ko aatii hai havaa se buu-e-aabnaa-umiidii se na kar tuu iztiraabuu.nT tuu kartaa hai us kii rahbariiyuu.n banaa detaa hai raakib ko jariiaaKHirash manzil pe pahu.nchaataa hai tuuaur suukhe KHaar-o-KHas khaataa hai tuusabr se kartaa hai tai raah-e-daraazsach kahaa hai tuu hai KHushkii kaa jahaazal-Garaz tuu hai haliim o KHush-KHisaaltarbiyat me.n chhoTe bachcho.n kii misaal
ye sard daalaanis se aage Gulaam-gardishye laq-o-daq sahn Dev.Dhiyaa.n aur ba.Daa ahaatamire jilau me.nye kaisii parchhaa.iyaa.n sii har samt raqs kartii guzar rahii hai.nye mere aabaa ke zar-KHariid aur Gulaam hai.n sabhazaaro.n ruuhe.n ba-yak zabaa.n chiiKHtii ho.n jaiseGulaam gardish me.nghu.ngruu.o.n kii ye kaisii chham-chham baras rahii hai
is KHabar ke aane ke ba.admai.n apne ghar kii khi.Dkiyaa.nband kartii huu.nbijlii ke taar switch-off kar detii huu.nfreeze me.n rakhaa khaanaapa.Dos me.n de detii huu.nbachaa hu.aa duudh galii kii billii ke aageDaal detii huu.naur ek gilass ThanDaa paanii piitii huu.ntamaam darvaaze lock kar kesa.Dak par nikal jaatii huu.ndopahar se pahleyaa raat ke kisii paharsarkaarii gaa.Dii me.nsarkaarii murda-KHaane me.nmujhe baaqii jilaa-vatano.n ke saathphe.nk diyaa jaa.egaaaur ek KHabar chhapegiimulzima fulaa.n-bint-e-fulaa.n ke gharpuraane sanduuq me.npuraane kap.Do.n kii taho.n me.nbahut sii nazme.nqaabil-e-e'tiraaz haalat me.n paa.ii ga.ii.n
parinde aur pardesiiagar vaapas kabhii aa.e.n tosaare lok giito.n daastaano.naur miTTii me.n amaanat kii hu.ii aa.nkho.n koapne saath le jaa.e.n!
mere badan kii chaar diivaarii ke liyekhanaktii hu.ii miTTii kam thiiis liye KHudaa ne aa.nkho.n me.n kaa.nch bhar diyaaaur jahannam ke lapakte hu.e sho.alo.n kii jalan lahuu me.n rakh diimere haatho.n me.n laq-o-daq sahraa.o.n kii retiilii vahshatchabaa.e hu.e aks kii lakiire.n banaatii rahtii haiaur zehn ke riste hu.e patiile me.ndin bhar bardaasht kaa laavaa khaultaa hai
puraanii bahut puraanii kaa.ii lagii diivaarlakhorii ii.nTo.n kiiitihaas ne apne lambe lambe haatho.n se jo.Do.n ko jis ke baa.ndhaa haiaur gulaabii bhuure sabz mile-jule dhabbo.n se jis par laakh kahaaniilikh Daalii haialbelii kirne.n roz sub.h chupke se us par cha.Dh jaatii hai.nidhar udhar phir jhaa.nktii hai.naur ek ek karke dabe paa.nvkono.n me.n is ke luk jaatii hai.ndau.D dau.D kar aa.nkh-michaulii kheltii hai.nlajjaa se chuur lataa nihu.Daa.e sar muskaatii haihalke se us ke daaman se do-chaar phuul Tapak jaate hai.nsahar uThtaa hai sabzaaasmaan ne aaj use phirrang lataafat KHushbuu kaa ye komal tohfabhe.nT kiyaa haiman us kaa ye daulatpaa kar bhii bhar aataa haiye aanand anant nahii.n haimagar yahii sparshhazaaro.n taaro.n me.n jiivan duniyaa keras bhartaa haiaur phir is se aise raag nikalte hai.njo kabhii nahii.n marteis diivaar ke saa.e me.nis upvan me.nsard kha.De hai.n bilkul siidhesaakit chupashok ba.Dii gambhiir soch me.n gumpuraane mandir jaiseka.nval kii kaliyaa.nharii harii saarii phailaa.etair rahii hai.naur favvaara halke halke yuu.n chaltaa haijaise sub.h ko baalakso.ii maa.n ke Dar sesisak sisak kar bilke
jaise saraabo.n kaa piichhaa karte karte laq-o-daq sahraa me.nachaanak naKHlistaan mil jaataa haijaise kuu.De karkaT ke Dher me.nKHuubsuurat phuul khil jaate hai.njaise Tu.nDmu.nD daraKHto.n parna.ii ko.nple.n phuuT nikaltii hai.njaise chaar suu chhaa.ii hu.ii KHaamoshii me.ndiivaanii koyal kuuk uThtii haijaise maayuusiyo.n aur tanhaa.iyo.n me.nmahbuub kii bhuulii bisrii yaad aa jaatii haijaise kaale baadalo.n ke piichhe sechamaktaa chaa.nd nikal aataa haijaise hijr kii lambii raat ke ba.adsub.h-e-visaal tuluu.a ho jaatii haivaise hii zindagii kaa bojh sahte sahtemaut ek suhaanaa KHvaab ban jaatii haiaur KHudaa kii ne.amato.n me.n seek ne.amat
firing ho rahii haifiring ho rahii haicricket khelte hu.e bachcheshor machaate hai.nmagar ghar me.n nahii.n jaatejaise firing ek jadiid lok giit haijis kii dhun parshor machaate dau.Dte hu.ecricket khelii jaa saktii haiyaa phirbachcho.n gintii sikhaane kaako.ii nayaa tariiqavo rozaana ek se dasdas se sauaur phir baGair ruke sau se hazaar tak jaa pahu.nche hai.nmagar firing band nahii.n hotiivo musalsal jaarii rahtii hai
diide lak lakkarte Tuk Tukla.al javaahar titlii hai
is ik lok gaathaa nebachpan ke vo dinmujhe phir dilaa.e hai.n yaadki jab mai.n ka.ii baarpaapaa ki godii me.n baiThiiba.Dii aa.nkh vaalebhayaanak ba.De azhdahaa kii kathaa sun rahii thiijise shaahzaade ne hii maar Daalaa thaa aaKHirye kuchh is tarah lag rahaa thaaki jaise ye kal hii hu.aa hobhaya.nkar nazar aane vaalaa ba.Daa azhdahaa jabidhar shaahzaade ko khaane ko lapkaato mai.n ne jhaT apnaa chehrachhupaa Daalaa paapaa ke kaa.ndho.n ke biichyahii jaan kar mere paapaa bachaa le.nge mujh koagar azhdahe ne yahii faisla kar liyaa ho ki meraa badanshaahzaade se ziyaada laziiz hii to hogaajo ab is qadar apne paapaa se duurmiluu.n azhdahaa sela.Duu.ngii mai.n us se zaruurapne paapaa kii gahrii mohabbat ke bal parki vo azhdahaa ab bhii rahtaa haitahziib ke maare logo.n ke biichki aaKHir mire paapaa kii lok-gaathaa.o.n ne hiidikhaayaa hai mujh koki achchhaa.iyo.n hii kii hotii jiit is jahaa.n me.nchunaa.nche mujhe jis qadar apne paapaa pe pakkaa yaqii.n haiun kii sab lok-gaathaa.o.n par bhii hai utnaa yaqii.n
vo barfaanii raatbaadaam aKHroT aur sattuusarmaa kaa shahd aur saag kii KHushbuuaur ik lok kahaanii me.n gumaag ke girdmai.n aur tum
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books