aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".fma"
salaamun alaikum bimaa sabar-tum fa-ne'ma uqbaddaar
kal raat jab apnii zulfe.n fazaa me.n bikhraa chukii thiiaur thakaa hu.aa aalamus ke gudaaz ubhaaro.n se lipTaa so rahaa thaamai.n be-KHvaabii kaa maaraaapne kamre me.n us kii pi.nDliyaa.n sahlaa rahaa thaabath-room me.n paanii kii ik ToTii seTap Tap kii aavaaz aa rahii thiimai.n ne sochaa paanii to vaqt kii alaamat haiye baath-room me.n buu.nd buu.nd gir rahaa haiagar jo TuuTii ko mai.n kas duu.nkyaa vaqt kaa bahnaa ruk jaa.egaakyaa kun-fa-yakuun se pahle aise hiivaqt ik pipe me.n Thahraa thaa
hamaare pairo.n ke chhaale phuuTe.nto in ke nam seGubaar rasto.n kaa baiThtaa haihamaare KHvaabo.n kaa KHuun pii kar ye sabz-rangii rute.n javaa.n hai.nhamaare sar kaaT kar asaas-e-falak me.n jab tak dhare na jaa.e.nkha.Daa na rah paa.e ek pal bhiihamaarii poro.n ne qatra qatra lahuu diyaa haito varaq-e-jaa.n surKH-guu.n hu.aa haihamaare ashko.n ne har lab-e-dasht ko chhu.aa haito tar hu.aa haihamii hai.n vaj.h-e-jamaal-e-hastiihamaare hone se irtiqaa haivagarna is kaar-gaah me.n kuchhkamaal-e-kun-fa-yakuun kyaa hai
ik azal thaa kabhiikuchh na thaa jab kahii.nko.ii hastii na thiiko.ii jalva na thaavaqt kaa bhii tasavvur na thaaek zarra thaa basintihaa kii hado.n se pareek zarra thaa laa-intihaabe-tarafbe-dishaabe-karaa.nek zarra thaa sirfek zarra thaa laa-intihaaaur phir ik dhamaaka hu.aaintihaa kii hado.n se pareek dhamaaka hu.aavo jo zarra thaa ik be-karaa.nbe-taraf be-dishaamuntashir ho gayaajis se saarii KHalaa.e.n banii.nkahkashaa.e.n banii.nchaa.nd suuraj baneaur dishaa.e.n banii.nvaqt paidaa hu.aalamhe u.Dne lagesadiyaa.n harakat me.n aane lagii.nhar taraf har dishaazindagii jagmagaane lagiiaur KHudaa ne kahaaaaj qudrat kaa merii zuhuur ho gayaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books