aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bandobast"
kisii ke dast-e-inaayat ne kunj-e-zindaa.n me.nkiyaa hai aaj ajab dil-navaaz band-o-bastmahak rahii hai fazaa zulf-e-yaar kii suurathavaa hai garmii-e-KHushbuu se is tarah sarmastabhii abhii ko.ii guzraa hai gul-badan goyaakahii.n qariib se, gesuu-ba-dosh, Guncha-ba-dastliye hai buu-e-rifaaqat agar havaa-e-chamanto laakh pahre biThaa.e.n qafas pe zulm-parasthamesha sabz rahegii vo shaaKH-e-mehr-o-vafaaki jis ke saath ba.ndhii hai dilo.n kii fat.h o shikast
lahuu ko sho.ala-ba-dast kar de.nye pattharo.n ko bhii mast kar de.nhayaat kii suukhtii ruto.n me.nbahaar kaa band-o-bast kar de.n
kahaa safed se aaKHir ko zard ne ye payaamki ai safed tuu ab chho.D de jahaa.n kaa maqaammai.n aayaa ab to miraa band-o-bast hogaa tamaamtuu mujh se aan ke mil chho.D apnii zid kaa kalaamvagarna khii.ngaa tuu infi.aal holii me.n
ek jism-e-naa-tavaa.n itnii dabaao.n kaa hujuumik charaaG-e-sub.h aur itnii havaa.o.n kaa hujuummanzile.n gum aur itne rahnumaa.o.n kaa hujuume'tiqaad-e-KHaam aur itne KHudaa.o.n kaa hujuumkashmakash me.n apne hii ma.abad se katraataa hu.aaaadmii phirtaa thaa dar dar Thokare.n khaataa hu.aahaq ko hotii thii har ik maidaa.n me.n baatil se shikastsar-niguu.n sar-dar-garebaa.n sar-basar the zerdastfan thaa ik matlab-baraarii log the matlab-parastis-qadar big.Daa hu.aa thaa zindagii kaa bandobasthaamii-e-jaur-o-sitam har tarah maalaa-maal thaajis kii laaThii thii usii kii bhai.ns thii ye haal thaakyaa KHudaa kaa KHauf kaisaa jazba-e-hubb-e-vatanbarsar-e-paikaar the aapas me.n shaiKH-o-barahmanbaaGbaa.n jo the vo KHud the mahv-e-taKHriib-e-chamanal-Garaz big.Dii hu.ii thii anjuman kii anjumanmaz.hab-e-insaaniyat kaa paasbaa.n ko.ii na thaakaarvaa.n laakho.n the miir-e-kaarvaa.n ko.ii na thaaruuh-e-insaa.n ne KHudaa ke saamne fariyaad kiijo zamii.n par ho rahaa thaa sab bayaa.n ruudaad kiiaur kahaa had ho chukii hai kufr kii ilhaad kiiek duniyaa muntazir hai aap ke irshaad kiitab ye farmaayaa KHudaa ne sab ko samjhaa.uu.ngaa mai.naadmii kaa ruup dhaaran kar ke KHud aa.uu.ngaa mai.nis tarah aaKHir hu.aa duniyaa me.n naanak kaa zuhuurfarsh-e-tilwanDii pe utraa arsh se rabb-e-GafuuruTh gayaa zulmaat kaa Deraa ba.Dhaa har samt nuurmamba.a-e-anvaar se phailii.n shu.aa.e.n duur duurmehr-e-taabaa.n ne do-aalam me.n ujaalaa kar diyaaaadmii ne aadmii kaa bol-baalaa kar diyaa
ek shaam abhaagan aa.iiye nahii.n aa.eko.ii siitlaa Daa.in aa.iiye nahii.n aa.eba.Dii Dhu.nDayyaa pa.Diiudaasii phail ga.iiammii jaan aur daadii jaan nepaise bhej kejalvaane kaa band-o-bast kiyaa
giit-baazaarii bhaav-taav se katraate hai.naur yahaa.n vahshat-zada aavaazo.n me.n setarannum kii alaihadgii kaa ko.ii bandobast nahii.n
thaa vaise a.ndhero.n kaa bandobast magarham hauslo.n kii dhuup le kar aa.e hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books