aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "deobandi"
chaa.nd ne mujh se kahaa ai shaa.er-e-fikr-e-azalmere baare me.n bhii likh de ko.ii sanjiida Gazalhar ta'alluq to.D rakkhaa hai hilaal-e-iid setujh ko fursat hii nahii.n hai mah-vasho.n kii diid serasm-e-diidaar-e-hilaal-e-iid, afsaana hu.iibaam par us dam cha.Dhe, jis vaqt farzaana hu.iile ke nazraana kametii ne ujaalaa hai mujhegar nahii.n niklaa, zabardastii nikaalaa hai mujheme.n jo be-marzii nikal aayaa to Daa.nTaa hai bahutmaulvii ne muKHtalif KHaano.n me.n baa.nTaa hai bahutis ko mat follow karo, is kii tariiqat maa.nd haitum bareilly ke ho aur ye deobandi chaa.nd haiye jo KHuu.n-aaluud hai, afGaaniyo.n kaa chaa.nd haimuKHtalif Tuk.Do.n me.n pakistaniyo.n kaa chaa.nd haiik karachi se hai niklaa ik pas-e-lahore haisindh kaa chaa.nd aur hai punjab kaa chaa.nd aur haivo jo ham-saa.e kii biivii hai Gazaalaa chaa.nd haiaur us ke saath jo rahtaa hai kaalaa chaa.nd haishaa.ero.n ne apne shero.n me.n bahut pelaa mujhe'miir' o 'Gaalib' ne bhii samjhaa KHaak kaa Dhelaa mujhesher me.n, rashk-e-qamar lailaa ko farmaane lagetube-light ko hilaal-e-iid batlaane lageapnii biivii se kahaa untiisvii.n kaa chaa.nd hoaur pa.Dosan se kahaa tum chaudhvii.n kaa chaa.nd hoaam sii aurat ko mah-paara banaa kar rakh diyaachaa.nd ko TuuTaa hu.aa taara banaa kar rakh diyaachaa.nd par jis din se insaa.n ke qadam pa.Dne lagechaa.ndnii jin se ho aaise balb kam pa.Dne lagemai.n zamii.n se duur huu.n lekin bahut nazdiik huu.nai zamii.n vaalo mai.n tum se duur rah kar Thiik huu.nmai.n zamii.n par aa gayaa to har bashar le jaa.egaasab se pahle ten-parsenT apne ghar le jaa.egaa
ko.ii jab puuchhtaa hai yeshii.a ho tum yaa sunnii hovahaabii ho ki deobandibataa.o kaun se firqe se nisbat haina jaane kyo.n mujhe ik palsujhaa.ii kuchh nahii.n detaamai.n gahrii soch me.n tab Duub jaataa huu.nmire andar se ik aavaaz aatii haisunaa hai tum ne bachpan seki tum to ibn-e-aadam hoto phir sach sach bataa.o naamusalmaano.n ke firqe kyaaki hinduu sikh iisaa.iipaarsii tak bhiijahaa.n me.n jitne insaa.n hai.nmire baabaa ke beTe hai.nye maanaa shakl-o-suurat me.nzaraa se muKHtalif ho.ngerago.n me.n dau.Dtaa hai jolahuu to ek jaisaa haisabhii aulaad-e-aadam seki jis me.n aadamiyat homirii to us se nisbat haiusii se KHuun kaa rishtayahii sach haiki jab mai.n ibn-e-aadam huu.nmiraa maz.hab vahii hai jomire baabaa kaa maz.hab hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books