aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "honorary"
jiine kii kashmakash me.n na be-kaar Daaliyemai.n third-divisioner huu.n mujhe maar Daaliyephir naam apnaa qaum kaa me.amaar Daaliyedegree ko merii liijiye aachaar Daaliyekuchh qaum kaa bhalaa ho to kuchh aap kaa bhalaameraa bhalaa ho kuchh mire maa.n baap kaa bhalaajaataa hai jis jagah bhii ko.ii third-divisionerkahte hai.n sab ki aa gayaa tuu kis liye idhartuu chal yahaa.n se terii na hogii yahaa.n guzarlauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar huu.n mai.n magar''yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye''har shaKHs mujh ko aa.nkh dikhaataa hai kis liyemai.n paas ho gayaa huu.n magar phir bhii fail huu.nta.aliim ke idaaro.n ke haatho.n me.n khel huu.njis kaa nishaana jaa.e KHataa vo Gulail huu.nmai.n KHaak me.n milaa hu.aa miTTii kaa tel huu.naur university bhii nahii.n hai refinerysuurat bhii tasfiye kii nahii.n ko.ii zaahiriiaKHbaar mai.n ne dekhaa to mujh par hu.aa ayaa.nhote hai.n paas vo bhii na de.n jo ki imtihaa.nya.anii ki honorary bhii miltii hai.n degreeyaa.nmai.n jis zamii.n pe pahu.nchaa vahii.n paayaa aasmaa.ndegree hai ik gunaaho.n kii tahriir mere saathgar ho sake to maa.ng luu.n ik umr ko udhaaraur imtihaan jis kaa nahii.n ko.ii e'tibaarus imtihaa.n kii baazii lagaa.uu.ngaa baar baarkahte hai.n log is ko ye machhlii kaa hai shikaarye imtihaan machhlii pha.nsaane kaa jaal hai''aalam tamaam halqa-e-daam-e-KHayaal hai''
har roz kar rahe hai.n sharaarat na.ii na.iivo log jin se sharm-e-rasuul-e-KHudaa ga.iijin ke zamiir-o-zarf pe taKHliiq sharmsaarjin ke dil-o-dimaaG kaa saa.ncha hai surma.iikyaa puuchhte ho ummat-e-ahmad-razaa kaa haalandar se daaG-daar to baahar se champa.iiriish-e-daraaz zulf-e-chaliipaa se faizyaabus lo’bat-e-fara.ng ke shauhar ka.ii ka.iimaslak me.n un ke honorary muKHbirii halaalmaz.hab hai is zaliil gharau.nde kaa nuqra.iimaathe pe farsh-e-bos-e-rivaayaat kaa Gubaarchehra ba-faiz-e-halqa-e-ushshaaq agra.iiham aise kushtagaan-e-vafaa ke KHilaaf hai.n'asraar' KHaandaan-e-kalaa.uu ke mujra.ii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books