aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "jaa.eza"
tumhe.n pyaar hai, to yaqiin do,mujhe na kaho, tumhe.n pyaar hai, mujhe dekhne kii na zid karo,tumhe.n fikr ho, mire haal kii,ko.ii guftuguu ho malaal kii,jo KHayaal ho, na kiyaa karo,na kahaa karo mirii fikr haimai.n aziiz-tar huu.n jahaan seyaa iimaan se, na kahaa karo,na likhaa karo mujhe varaq par, kisii farsh par,na udaas ho, na hii KHush rahomujhe soch kar, yaa kharoch kar, merii yaad ko na aavaaz do,mujhe KHat me.n likh ke KHudaa.o.n kaa na do vaastatumhe.n pyaar me.n na qaraar hai, mujhe is zabaa.n kaa yaqiin nahii.nkuchh aur ho, jo sunaa na ho, jo kahaa na ho jo likhaa na hoto yaqiin ho!ruko aur tho.Daa saa zabt lo, mujhe soch lene ko vaqt do,chalo yuu.n karo mire vaaste ki buland-o-baalaa imaarato.n kaa lo jaa.ezajo falak ko bosa lagaa rahii ho.n imaarate.n,jo tumhaare pyaar se le rahii ho.n mushaabahate.njo ho sab se ziyaada buland-o-baalaa alag-thalaguse sar karo,use chhat talak, haa.n yahii.n ruko, ye vo hii hai chhat,zaraa saa.ns lene ko qayaam lo, miraa naam lo,to safar kii saarii thakan yahii.n pe utaar lo,ab! mire tumhaare jo darmiyaa.n me.n hai faasla, vo zaraa saa hai,vo miTaa sako, to Guruur Dhaatii bulandiyo.n ko phalaa.ng do!tumhe.n pyaar hai to yaqiin do!!
raat sannaaTe kii chaadar me.n pa.Dii hai lipTiipattiyaa.n sa.Dko.n kii sab jaag rahii hai.n jaisedekhnaa chaahtii hai.n shahr me.n kyaa hotaa haimai.n hamesha kii tarah ho.nTo.n me.n cigarette ko dabaa.esone se pahle KHayaalaat me.n khoyaa hu.aa huu.ndin me.n kyaa kuchh kiyaa ik jaa.eza letaa hai zamiirek saada saa varaq naama-e-aamaal hai sabkuchh nahii.n likkhaa ba-juz is ke pise jaa.o yuu.nhiikuchh nahii.n likhaa bas ik itnaa ki insaa.n kaa nasiibgiilii guu.ndhii hu.ii miTTii kaa hai ik toda saadin me.n sau shakle.n banaa kartii hai.n is miTTii sekuchh nahii.n likhaa bas ik itnaa ki chyuu.nTii dil haijauq-dar-jauq jo insaan nazar aate hai.ndaana le kar kisii diivaar pe cha.Dhnaa girnaaaur phir cha.Dhnaa cha.Dhe jaanaa yuu.nhii shaam o saharkuchh nahii.n likkhaa bas itnaa ki pise jaa.o yuu.nhiiaur andoh ta.assuf KHushii aalaam nashaatKHud ko sau naamo.n se bahlaate raho chalte rahosaa.ns ruk jaa.e jahaa.n samjho vahii.n manzil haiaur is dau.D se thak jaa.o to cigarette pii lo
merii ek KHvaahish haiko.ii ek nuqta hojo vajuud kii saariisarhado.n se baahar hojis pe jaa ke mai.n apnaaek jaa.eza le luu.napne-aap se haT karapne-aap ko dekhuu.n
june kii garmii ka.Daktii dhuup luu chaltii hu.iihar gha.Dii mazduur ke sar se qazaa Taltii hu.iisar pe gaare kii ka.Dhaa.ii aur diivaar-e-bulandhaa.nptaa vo cha.Dh rahaa hai le ke himmat kii kamandpaa.D par pahu.nchaa to ik gaalii sunii me.amaar sejii me.n aayaa sar ko Takraa de usii diivaar sehaa.e us mazluum kii majbuuriyaa.n naa-chaariyaa.njaan kaa aazaar hai.n iflaas kii biimaariyaa.ndil me.n kahtaa hai ki ye me.amaar bhii mazduur haiphir yahii jaan-e-hazii.n kyuu.n is qadar maqhuur haius kii ujrat mujh se dugunii hai magar kam hai shu.uurtamkanat kis baat par kis chiiz par itnaa Guruurmai.n agar naadaar huu.n ye bhii nahii.n sarmaaya-daarbhuut vo hai kis ba.Daa.ii kaa jo us par hai savaarii.nT gaaraa mai.n na duu.n us ko to ye kis kaam kaaasl me.n me.amaar mai.n huu.n ye faqat hai naam kaamerii himmat kah rahii.n hai.n kaaKH-e-diivaan-e-bulandaah is par bhii mai.n duniyaa me.n huu.n itnaa mustamandlag gayaa phir kaam me.n ye soch kar vo bad-nasiibai KHudaa duniyaa me.n itnaa bhii na ho ko.ii Gariibdin Dhalaa jis vaqt maalik bhii makaa.n kaa aa gayaaik sukuut-e-marg saa diivaar-o-dar par chhaa gayaakaa.nptaa rahtaa hai har mazduur jis ke naam sesab usii dhun me.n the vo KHush ho hamaare kaam seus kii peshaanii pe lekin bal zaraa aane lagephan uThaa kar tamkanat ke saa.np lahraane lagesab se pahle us ne gaalii dii usii me.amaar koapnii milkiyyat jo samjhaa thaa har ik diivaar kojosh-e-naKHvat se kahaa us ne ki ai paajii la.ii.nkal jahaa.n tak thii ga.ii diivaar ab bhii hai vahii.nkyaa kiyaa hai tuu ne din-bhar me.n zaraa mujh ko bataayuu.n takabbur me.n vo aa kar jaa.eza lene lagaadil me.n vo mazduur phir kahne lagaa uf re Gazabjo bhii is duniyaa me.n hai.n fir.aun hai.n vo sab ke sabjis kaa jis par bas chale paamaal kartaa hai useKHud agar KHush-haal hai bad-haal kartaa hai usekyaa kahuu.n sarmaaya-daaro.n ke sitam kii daastaa.ndiida-e-mazduur hai mazduur se bhii KHuu.nfishaa.njis kii laaThii us kii bhai.ns is misl ko saadiq samajhye samajh kar is KHudaa-e-paak ko raaziq samajh
nadii ke haal koab dekh kar afsos hotaa hainadii kaa ek maazii thaana jaane kitnii taariiKHii kitaabo.n me.nnadii kii ahmiyat kean-ginat abvaab raushan hai.nnadii tahziib kaa maskan rahii haiisii kii mauj neaaGaaz me.n insaan kovaaqif karaayaairtiqaa.ii marhalo.n seisii ke saaf aur shaffaaf paanii neyugo.n takmuKHtalif naslo.n kiidil se aabiyaarii kiiisii kii chiiKHtii chi.nghaa.Dtii lahro.n peGalba paa ke insaa.n netaraqqii kiimagar andhii taraqqii nenadii kii shaklitnii masKH kar Daaliiki aa.nkho.n ko kisii suuratyaqii.n aataa nahii.njo kuchh nazar ke saamne haivo haqiiqat haigande badbuu-daar naale kii tarah jobah rahii haiyahii to vo nadii haitazkire jis ke kitaabo.n me.n bhare hai.nkitnii tahziibo.n kaa jo maskan rahii hainadii ke haal kaa jab jaa.ezaletii hai.n nazre.nto bahut afsos hotaa hai
shaam kaa vaqt kisii dost ke saathchaa.e KHaane me.n bitaa.otabsira gardish-e-dauraa.n pe karojaa.eza vaqt kaa lo aur kathaa apnii sunaa.o
zindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimjaa.eza letaa huu.n har mo.D pe shaa.ir kaa dimaaGhar badalte hu.e manzar pe nazar rakhtaa huu.naur taariik sii raato.n me.n jalaataa huu.n charaaGzindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimjhilmilaate hu.e aa.nchal me.n sukuu.n Dhuu.nD chukaaik tabassum ke liye ek ishaare ke liyeapne jazbaat me.n andaaz-e-junuu.n Dhuu.nD chukaazindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimparda-e-saaz me.n ik giit chhupaayaa thaa kabhiiapne ehsaas kii parvaaz ba.Dhaane ke liyeyaad hai madh-bharii aa.nkho.n ko rulaayaa thaa kabhiizindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimye jhapaktii hu.ii palke.n hai.n ye lab ye ruKHsaarye to zulfe.n nahii.n saavan kii ghaTaa.e.n ho.ngiihaa.n yahii to hai.n KHayaalaat ke ra.ngii.n shahkaarzindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimmai.n ne ik baar hii chhe.Daa thaa mohabbat kaa rabaabsaa.ns jalne lagii thii jism laraz uTThaa thaamai.n ne piine ke liye sirf u.nDelii thii sharaabzindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimhusn ko rahguzar-e-aam pe chalte dekhaaek hii samt inaayaat ke dhaare na rahemai.n ne paanii ka.ii soto.n se ubalte dekhaazindagii kii sabhii raaho.n se guzartaa huu.n nadiimmai.n ne ghuTte hu.e kamre me.n dhu.aa.n dekhaa haita.ng galiyo.n me.n banaavaT kii ha.nsii biktii haiduur ik taaq pe miTTii kaa diyaa jaltaa hai
mohabbat pesh-qadmii kartii haiaur apnii fauj me.nkisii sipaahii ko bhartii nahii.n kartiikisii tank ko apne saath nahii.n rakhtiiko.ii baktar-band gaa.Dii yaa top-KHaanaapnii hifaazat ke liye istimaal nahii.n kartiikisii tayyaare semaidaan-e-ja.ng kaa jaa.eza nahii.n letiimohabbat pesh-qadmii kartii haiaur saarii duniyaa ke tiirzahr me.n bujhaa liye jaate hai.nsaare neza-baazghaat lagaa ke baiTh jaate hai.nsaarii talvaare.nniyaam se baahar aa jaatii hai.nuse apnii Taapo.n tale rau.ndne ke liyeshah-savaar tayyaar ho jaate hai.nbaadshaaho.n kaa Gussakaalii aa.ndhii ban keus taraf ba.Dhne lagtaa haiapne dil pe haath rakh kemohabbat pesh-qadmii kartii haiaur us kaa jahaazkabhii Garq nahii.n hotaaus kaa aslaha kabhii KHatm nahii.n hotaamohabbat kii hamesha jaarii rahne vaaliiye pesh-qadmii ko.ii rok nahii.n paataathak-haar ke us ke saath saath chalne lagtaa hai
yahaa.n se nasheb-e-zamaan-o-makaa.n kaa agar jaa.eza le.nto lagtaa hai jaise dhu.ndlako.n ke us paarjo kuchh bhii hai Thiik haihasb-e-ma.amuul haimiraa naam shenaanDoraa haimai.n kitnii sadiyo.n se us bahr-e-zaKHKHaar me.n KHema-zan thaajo mavvaaj samt-e-digar me.n rahaa
zindagii kii taviil raato.n me.njab kabhii jaa.eza liyaa mai.n nezindagii ko ajiib paayaa haiaur mai.n sochtaa hii rahtaa huu.nzindagii bhii ajiib chakkar hai
ye mere badan parna ta.ng haina Dhiilaaalbatta mai.n is libaas me.nchal phir nahii.n saktaabaahar seis kaa jaa.eza nahii.n le saktaana uTh kar kha.Daa ho saktaa huu.nlohe ke libaas me.naadmii ba.Daa mahfuuz rahtaa haivo tamaam shahr koapne saamne jaltaaaur tamaam logo.n ko martaa dekh saktaa hailohe ke libaas me.n aadmiikisii kii ibaadat nahii.n kar saktaakisii kaa haath nahii.n thaam saktaalohe ke libaas me.n aadmiizindagii parthuuk nahii.n saktaa
pahaa.Do.n kii chaa.ndii sifat choTiyaa.naasmaa.n chhuu rahii hai.nzamii.n ke badan me.nshajar apnii lambii nukiilii ja.De.nbo rahaa haihar ik shaKHs saahil peik duusre se chimaTpa.Daa haisamandar kii mauje.nagar ko.ii saa.at junuu.n-KHez Thahre.nsamandar magarroz-e-avval se KHaamosh haiapnii vus.at kaa shaayadhar ik samt vo jaa.eza le rahaa hai
jaa.eza lenaa hai ab badle hu.e haalaat kaazindagii kaa vaqt kaa kirdaar kaa jazbaat kaasaamne hai mulk kii be-rozgaarii kaa savaalGurbat-o-iflaas kii aaGosh me.n hai.n maah-o-saalaaj bhii pardo.n me.n hai lailaa-e-hastii kaa jamaalkitne dil maGmuum hai.n kitnii tamanna hai.n niDhaal
dayaar-e-ziist shikasta-nuquush se pur haimagar nigaah ko hai ishq dasht-e-imkaa.n semirii nigaah me.n takmiil kaa yaqii.n na sahiimirii nigaah me.n takmiil kaa iraada haiuThaa hai jo bhii qadam raah-e-zindagii pe usehazaar rang masarrat kaa jaa.eza le karGam-e-hayaat ke ho.nTo.n ne ba.Dh ke chuum liyaa
mai.n us niile parbat kii uu.nchaa.iyo.n parjo be-intihaa KHuub-suurat nazar aa rahii hai.nka.ii saal rah karhar ik zaaviye seik ik zarre kaa jaa.eza le ke lauTaa huu.naur kah rahaa huu.n vahaa.n tum na jaa.ovahaa.n kuchh nahii.n haifaqat duur se ham ko aavaaz dete hu.echand sannaaTo.naurbaazu.o.n ko pasaare hu.e ik KHalaa ke sivaaaur kuchh bhii nahii.n haivahaa.n tum na jaa.o
apne ehsaas ke aa.iine me.n KHud ko dekhaaik simaTtaa hu.aa saaya huu.n bikhartaa hu.aa phuulek taptaa hu.aa sahraa huu.n sulagtaa hu.aa shahrdard kaa sarv-e-ravaa.n dukh kaa shajar dasht-e-KHuluusek fankaar huu.n sarmaaya miraa KHuun-e-jigarzindagii baarhaa sho.alo.n me.n giraftaar hu.iibaarhaa fikr-e-dil-o-jaa.n bhii sharar-baar hu.iiapne maahaul ke me.aar pe KHud ko parkhaaek mujrim huu.n miraa jurm vafaa kii tash.hiirazmat-e-zulm kaa munkir huu.n shab-e-Gam kaa hariifaadamiyyat kaa taqaddus hai mire fan kaa jamaalhaq-parastii mire afkaar kaa sar-chashma hai
tumhe.n mujh se jo nafrat hai vahii to merii raahat haimirii jo bhii aziyyat hai vahii to merii lazzat haiki aaKHir is jahaa.n kaa ek nizaam-e-kaar hai aaKHirjazaa kaa aur sazaa kaa ko.ii to hanjaar hai aaKHirmai.n KHud me.n jhe.nktaa huu.n aur siine me.n bha.Daktaa huu.nmire andar jo hai ik shaKHs mai.n us me.n pha.Daktaa huu.nhai merii zindagii ab roz-o-shab yak-majlis-e-Gam-haaazaa-haa marsiya-haa girya-haa aashob-e-maatam-haa
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
darbaar-e-vatan me.n jab ik din sab jaane vaale jaa.e.ngekuchh apnii sazaa ko pahu.nche.nge, kuchh apnii jazaa le jaa.e.nge
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books