aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "order"
zamiin-e-vietnammai.n bhii ik sar-zamii.n kaa baasii huu.njo abhii tak mirii haikal kaa pata nahii.n hai ki mere paa.nv mirii zamiin par phisal rahe hai.nko.ii ba.De zor-daar haatho.n seduur baiThaazamiin kaa palluu paka.D ke apnii taraf use khii.nchtaa hii jaataa haimai.n khi.nchaa jaa rahaa huu palluu sametThahruu.n to mere paa.nv phisal rahe hai.nmai.n duusrii samt mu.nh agar kar ke bhaag nikluu.nzamiin khi.nch jaa.e paa.nv se to KHalaa me.n girne kaa Dar hai mujh kozamiin-vietnamis se pahle ki mere pairo.n tale se merii zamiin khi.nch jaa.eaaj tujh se muqaabla apnaa kar rahaa huu.nki mujh me.n tujh me.n jo mushtarak qadar hai vo ja.ngii sa.uubate.n hai.nmiraa bhii dushman vahii hai jo tujh se la.D rahaa haitirii zamiin par bhii ja.ng jaariimirii zamii.n par bhii ja.ng jaariiagar ko.ii farq hai to ye hai ki apne dushman ke saamne tuu bahaadurii se Dataa hu.aa haimai.n jhuk gayaa huu.nyahaa.n zaraa muKHtalif hai suuratki meraa dushman Dataa hu.aa haimai.n sar bhii apnaa jhukaa chukaa huu.nmai.n us kii minnat bhii kar chukaa huu.nmagar vo be-rahm maare hii jaa rahaa haikisii tarah maantaa nahii.n haibas apnii manvaa.e jaa rahaa haizamiin-vietnamtuu ne itne baras ga.nvaa.ekaro.Do.n afraad apne marvaa.etuu ne minnat hii kii na saudaa kiyaa na faujo.n kaa sar jhukaayaaajab ki tuu ne rago.n me.n KHuun kii bajaa.e baaruud bhar liyaa haituu baavlii haiye dekh baarah karo.D ke chand maaliko.n kaa bhii kaar-naamaunhe.n bhii ik ja.ng aa pa.Dii thiiunho.n ne sola dino.n me.n vo kar diyaa jo sadiyo.n me.n bhii na hotaajhukaa diye apne laakh faujiimiTaa diye apne laakh faujiimiTaa diye apne nisf jhag.DekaTaa diyaa apnaa nisf naqshajo nisf baaqii thaa aur sola dino.n kaa jhag.Daa thaa gar ye rahtaakyuu.n na hotaaki har ba.Dii qaum kaam aise kiyaa hii kartii hai jo ki taariiKH ke liye baab kholte hai.nye kaar-naamaye sirf taariiKH kaa nahii.n haiye kaar-naama to hai juGraafiya bhii jis ne badal diyaa haibahut ba.Dii qaum kaa ye kartab haiqaum su.ii banaanaa apne liye jo tuu jaantii nahii.n haiye qaum baaruud jis kii KHaatir ba.De mamaalik banaa rahe hai.nbahut ba.Dii qaum hai bahut hiijahaaz ke kaar-KHaane bairuun-e-mulk jis ke bane hu.e hai.nvo jis kii KHaatir ki buke impala ford order pe ban rahii haimashiin engine milo.n kaa saamaan kaar-KHaane ke saare auzaarradio telephone television tracktor machine-gun topGaraz ek ek shai us kii us ke kamii KHud apne mulko.n me.n us kii KHaatir banaa rahe hai.nbahut ba.Dii qaum hai ki us ke ba.De gharo.n me.n to sar kaa shave bhiitan ke kap.De bhii aur juute bhii us ke baahar se aa rahe hai.nzamiin-vietnamterii maa.e.n to apne bachche ke qad ko dekhtii hai.n ki us kii lambaa.ii car se to ba.Dii nahii.n haizamiin-vietnambeTiyaa.n terii apne shaano.n pe apne shero.n kaa bojh le kar paa.nv kii suurat hai.n iistaadamagar yahaa.n beTiyaa.n nahii.n hai.nyahaa.n to tohfe hai.njo ki baahar se aa.e saudaagaro.n kii KHaatir tavaazo.a karne ke vaaste kar rahe hai.nzamiin-vietnamtere beTe to tere vaaris tire muhaafiz hai.nfauj vo ban rahe hai.n terii ki tujh pe jaane.n nisaar kar de.nzamiin-vietnamtere beTe to tere vaaris tire muhaafiz hai.nfauj vo ban rahe hai.n terii ki tujh pe jaane.n nisaar kar de.nyahaa.n pe beTii nahii.n to beTe bhii is zamii.n ne nahii.n jane hai.nyahaa.n to tanKHvaah kii zaruurat hai fauj me.n ho ki mauj me.n hozamiin-vietnamteraa aadam kahaa.n se aayaa thaabeTiyaa.n terii kaun sii be-misaal havvaa kii beTiyaa.n hai.nzamiin-e-vietnam terii miTTii kahaa.n kii hai jo kitere dushman ne chaa.nd tasKHiir kar liyaa par na tujh ko jiitaatiraa KHudaa kaun saa KHudaa haimire KHudaa kaa salaam us komagar mire vietnam jo farq tujh me.n mujh me.n hai aur tho.Daa saa duur kar duu.ntirii la.Daa.ii to sirf dushman se hai ki jo tere saamne haimirii la.Daa.ii hai dushmano.n se jo saamne ho ke bhii mire saamne nahii.n hai.nmai.n dushmano.n se bhii la.D rahaa huu.nme.n dosto.n se bhii la.D rahaa huu.n jo dostii kaa libaas pahnemirii la.Daa.ii a.Dosiyo.n se pa.Dosiyo.n semirii la.Daa.ii hai apne ghar me.nmirii la.Daa.ii samundaro.n ke udhar bhii qaa.emmirii la.Daa.ii hai jism se bhiimirii la.Daa.ii hai zehn se bhiimirii la.Daa.ii to saamraajii nizaam se haijahaa.n jahaa.n saamraaj hai mai.n vahaa.n vahaa.n par Dataa hu.aa huu.nmai.n apnii Gurbat se apnii mazluumiyat se aagaah ho chukaa huu.nmirii ye Gurbat ye merii mazluumiyat hii quvvat haivo sipaahii nahii.n hai meraa jo apne helmate ke bojh se sar jhukaa chukaa haijo sirf tanKHvaah ke liye meraa sher jarnail ban gayaa haimeraa ye qallaash meraa be-kaar meraa mazduur vo sipaahii haijo mirii fauj ban rahaa haizamiin ke palluu ko apnii is taaza fauj kii be-panaah quvvat se thaam karab mai.n apnii jaanib ghasiiT luu.ngaaghasiiT luu.ngaa mai.n un ko bhii vo jo duusrii samt apne aahan ke haath le karmirii zamiin apnii samt laalach se khii.nchte hai.nzamiin-e-vietnam gar tirii sar-zamii.n pe baaruud kii tahe.n bichh ga.ii hai.n to us zamii.nke kheto.n me.n bhii faqat goliyaa.n uge.ngiiyahaa.n bhii pe.Do.n ko ab phalo.n kii bajaa.e bam hii lage.ngeis sar-zamii.n pe bhii aag hii ke dariyaa bahe.ngejin mai.n ki ko.ii kaaGaz kii naav vo saamraaj kii ho ki merii apniina chal sakegiizamiin-e-vietnam mai.n bhii ik sar-zamii.n kaa baasii huu.nis zamii.n kaa salaam tujh ko
be-aabaad gharo.n me.n aisaa hotaa haiduur ke des ko jaane vaalaa kolhuu kaa ek bail banaa haihar pahlii ko harkaare ke haath me.n ek money-order kaa rasta taktiibaap kii aa.nkhe.n KHushii KHushii tasbiih ke daane jaldii jaldii pher rahii hai.nbahne.n dollar ke ta.aviiz banaa kar gale me.n Daale ghuum rahii hai.nbhaa.ii apne yaaro.n me.n pardes ke qisse rang-birangii aavaazo.n me.n haa.nk rahe hai.nKHush-fahmii kii maarii biivii apnii javaanii umr ke calender me.n rakh kar kaamo.n me.n lag jaatii haimaa.n diivaar pe baiThe kavve kii aavaaz ko sun kar KHush hotii haiduur ke des me.nkolhuu kaa vo bail bechaararaat ko thak kar so jaataa haibe-aabaad gharo.n me.n aksaraisaa ho jaataa hai
gayaa saaljaate hu.emerii dahliiz parraakh kaa Dherjhulse hu.e jismTuuTe hu.e uzvsitambar kii barbaadiyo.n pe likhe marsiyo.naur aKHbaar kii surKHiyo.n me.n taraasho.n me.nlipTii hu.ii zard ma.asuum laashe.nThiThurte hu.e sard suuraj kii pahlii kiran me.n ba.ndhiiworld order kii miTtii hu.ii dastaavezo.n ke ambaar ko chho.D kar jaa chukaa hai
likhnaa pa.Dhnaa kuchh na jaane.n ThaaTh se daftar jaanaahar din ghar me.n na.e khilaune laDDuu barfii laanaaKHaamosh raho mat dhuum machaa.o sab ko Daa.nT pilaanaatalo pakau.De chaa.e banaa.o order dete jaa.e.naa.o ba.De ban jaa.e.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books