aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "pension"
hai urdu kaa bhii lambaa piir saaqiibanaatii hai haram ko dair saaqiikahii.n 'momin' kaa zikr-e-KHair saaqiikahii.n 'naasiKH' kii haalat Gair saaqiina dii a.ngrez ne 'Gaalib' ko pensionattention ai dil-e-naadaa.n attention
iksaTh saal guzarte hai.nafGaano.n kii ik bastii me.n laDDan-KHaa.n ne janm liyaa thaadaaroGa ke beTe the vo naanaa un ke maulaanaa thekhaataa-piitaa ghar thaa un kaalaDDan-KHaa.n achchhe bachche the bilkul vaise jaise tum houn ke ghar vaale bhii un se utnii hii ulfat karte the jitnii ham tum se karte hai.njab vo tho.De ba.De hu.e tonaanaa un ko maktab me.n daaKHil kar aa.elaDDan-KHaa.n ne pa.Dhnaa siikhaalikhnaa siikhaa la.Dnaa siikhaa aaKHir vo afGaanii bhii thechaudah pa.ndrah barso.n hii me.n laDDan-KHaa.n ko ye be-fikrii raas na aa.iinaanaa aur abbuu dono.n ne laDDan-KHaa.n se kaTTii kar liimarnaa jiinaa tum kyaa samjhotab majbuuranlaDDan-KHaa.n ne pa.Dhnaa chho.Daaapne ghar se naanaa jo.DaaTuition karte lashTam-pashTam apne ghar kaa KHarch chalaateun kii ammaa.n ko raaja se tho.Dii sii pension miltii thii kaam kisii suurat chal jaataamaa.n ne un kii shaadii kar diilekin biivii KHush-qismat thii jis ne jald hii ka.ii kar liiguDDuu beTehonii ho kar hii rahtii haimaktab me.n rah kar laDDan-KHaa.n Gazle.n kahnaa siikh chuke theafGaanii hone ke naate logo.n se Darte bhii nahii.n theapnii Gazlo.n me.n nazmo.n me.n tiikhii tiikhii baate.n kahte logo.n par phabtii kaste theapne ho.n yaa Gair sabhii parsach kahne me.n sach likhne me.n baak na karte ye to ek nasha hotaa haibas phir kyaa thaa apne Gair sabhii un ke dushman ban baiTheTuition chhuuTe vii-menii kii vii-menii se munshii-giiriidar dar bhaTke baaz na aa.eka.Dvii tiikhii Gazle.n nazme.n kah kah kar ambaar lagaayaaitne se bhii chal saktaa thaalekin vo to raaja-jii par phabtii kas kar ammii kii pension le Duubebolo un kii kyaa aTkii thii raaja jo kuchh bhii kartaa thaa laDDan-KHaa.n se kyaa matlab thaaammii bechaarii is Gam me.n ku.Dh ku.Dh kar pardes sidhaarii.n yuu.n samjho bas ruuTh ga.ii.n vo laDDan-KHaa.n selekin beTaa marne me.n paise lagte hai.n laDDan-KHaa.n ne ghar bhii bechaaaage piichhe ko.ii nahii.n thaa ab to laDDan-KHaa.n khul-khelesachchii sachchii baate.n kah kar ka.Dvii tiikhii Gazle.n likh kar zahr-aaluuda nazme.n pa.Dh karek sire se sab logo.n ko dushman-dar-dushman kar baiThesaarii duniyaa dushman ho to laDDan-KHaa.n bachte bhii kaisesab ne mil kar gheraa Daalaaaage dushman piichhe dushman daa.e.n dushman baa.e.n dushman uupar dushman niiche dushmanlaDDan-KHaa.n me.n aql nahii.n thii ab bhii chiknii-chup.Dii baate.n kar ke chupke se bach letelaDDan-KHaa.n ne apnii Gazle.n apnii nazme.n saarii chiize.n chho.D karchupke se mar jaane hii ko behtar jaanaa
pyaare beTe ibraahiimtumhe.n shikaayat hai ki ek arse se mai.n ne kuchh likhaa likhaa yaa nahii.n'iqbaal' ne kahaa thaanaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.nphir 'faiz' ne kahaa thaabol ki lab aazaad hai.n terebahut uksaataa huu.n apne-aap kolekin zabaan kii girah khultii hii nahii.naur dil kaa sho.ala-lab mojiz-bayaa.n par aataa hii nahii.nhaa.e 'naasir'-kaazmii'bas 'Gaalib' kii tarah kaan lapeT kar baiTh jaataa huu.nkhulaa kar faa.eda arz-e-hunar me.n KHaak nahii.nboluu.ngaa to sunegaa kaunkisii ke kaan me.n pa.D bhii ga.ii to samjhegaa kaunaaj-kal to ba.De ba.De kha.D-pe.ncho.n kii haalat ye haiki ko.ii suntaa hai to samajhtaa nahii.nko.ii samajhtaa hai to suntaa nahii.naur bahut hai.n jo sunte bhii nahii.n samajhte bhii nahii.nphir mere paas naale ko hai kiyaakaun sii zaruurii baat hai jo an-kahii rah ga.ii haisaare falsafe saare nazariye saare masaa.il to bayaan ho chukeshaa.iro.n ne latiif se latiif jazbe ko sau sau tarah se baa.ndh Daalaamausiiqaaro.n ne naazuk se naazuk ehsaas ko paaband le kar diyaana kisii ke liye kuchh kahne ko baaqii haina kisii me.n sun.ne kaa yaaraa haiyahii Ganiimat hai ki dil bhar aa.e to mu.nh hii mu.nh me.n kuchh ba.Dba.Daa le.naaKHir jab KHudaa ne abhii KHudaa.ii na banaa.ii thiito akele me.n kyaa kartaa ho voKHud hii boltaa hogaa KHud hii suntaa hogaa vomeraa ye maqaam to nahii.n lekin haalat yahii haiKHud hii boltaa huu.n KHud hii suntaa huu.nbas ye samajh me.n nahii.n aataa ki kahaa kyaa hai aur sunaa kyaa haivaise ye samjhe samjhaane vaalii baat bhii Te.Dhii KHair hai'Gaalib' ne kahaa thaabak rahaa huu.n junuu.n me.n kyaa kyaa kuchh kuchh na samjhe KHudaa kariye ko.iiaur is se pahle 'miir-dard' ne bahut dard se bataayaa thaasamajhte the na magar sunte the taraana-e-dard samajh me.n aane lagaa jab to phir sunaa na gayaavassalaam
mai.n choriyaa.n kartaasiskaariyaa.n bhartaakarachi se multaanmultaan se lahorelahore se gujraat pahu.nchaa thaatarah tarah ke ghinaa.one pesho.naur ghane andesho.n sela.D bhi.D kefaqiirii iKHtiyaar kii thiiyahii qaumii mizaajaur KHitte kaa rivaaj thaa
jaisaa ki kabhii vo la.Dte hai.n kitaabo.n parcopy aur ra.ngiin pencilo.n ke hisaabo.n parye la.Dte hai.n kabhii sur aur sa.ngiit parkhel me.n kabhii haar aur kabhii jiit parkabhii school kaa home-work karne me.nkabhii tasviiro.n me.n rang bharne me.nkabhii khaane piine kii chiizo.n pardastar-KHvaan aur khaane kii mezo.n parye la.Dte hai.n daal machhlii aur anDe parkabhii garm chaa.e aur icecream ke ThanDe parla.Dte hu.e to.D dete hai.n gilaas aur plateaur barbaad kar dete hai.n ye saarii chokleT
pensione.n tanKHvaah kaa aksar tihaa.ii hii rahii hai.naur qiimat dhiire dhiire umr kii suurat falak ko chhuu rahii haiek aur nau kii ye nisbatpople mu.nh me.n kasiilii raakh hii kaa zaa.iqa detii rahii hai
KHushk kiikar ke pe.Do.n nelau ke thape.Do.n nedhartii ke betaab siine sesarsabz dariyaa kii muuratubharne nahii.n diimano.n miTTii ke niichebe-shakl tuudo.nsiyah-rang paudo.n ke hamraah din kaaTtaa huu.nguzargaah sad-rangaa.nkho.n me.n bastii haigiile kinaaro.n pe pe.Do.n ke niichedo-aabe kii mahkaar u.Dtii haimaidaanii duniyaa kii jaanib guzargaah mu.Dtii haidariyaa ke giile kinaaro.n petahziib paltii haiuplo.n ke phuulo.n ke uupardahakte tavo.n parchhanakte hu.e surKH haatho.n kiichamkiilii pore.n hai.ntahmad ke phaaTo.n me.nabraq sii raano.n kiirangat chamaktii haigahre salone samay hai.nfalak ke sitaare hai.npe.Do.n pe pe.nge.n hai.npe.ngo.n ke lambe hilaare hai.nchaadar me.n malfuuf maddham nishaano.n me.n mad.hosh rahtaa huu.ndariyaa huu.nik sail-e-mahbuus huu.naur andhe bahaav ke andhe tasavvur me.n bahtaa huu.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books