aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "puncture"
mere hamdammai.n ki tujh ko chaahtaa thaa bhuulnaamai.n ki terii raah se katraa rahaa thaamai.n ki terii yaad siine me.n dabaa.e jaa rahaa thaamai.n ki teraa pyaar duniyaa se chhupaa.e jaa rahaa thaahaadisa phir ho gayaameraa dil tanhaa.iyo.n me.n kho gayaatere ghar ke saamnemai.n guzartaa jaa rahaa thaa tez tezki achaanak car puncture ho ga.iitere ghar ke saamnena Thahar saktaa thaa mai.nna hii jaa saktaa thaa mai.nmai.n bahut hairaan thaamai.n bahut aazurda thaavo ki mujh se pyaar karte the kabhiivo ki meraa naam japte the kabhiisaamne baiThe rahepar na merii jaanib uTh kar aa sakejaise mai.n un kaa na thaajaise mai.n teraa na thaajaise mai.n begaana thaaapnii is tauhiin parmai.n bahut sharminda thaamai.n bahut pazhmurda thaatujh se lekin kyaa gilana tire siine me.n dilna tirii ko.ii umangtuu to kaTh-putlii hai ekmujh ko tujh se kyaa gila
pa.Dhaa nahii.n to phir kyaa likkhaatiir nahii.n thaa chalaa hai tukkaaaaKHir me.n sab hakkaa-bakkaaruk ga.ii gaa.Dii puncture chakkaaakkaa bakkaa tiin ta.Dakkaa
jii-jaan se ham ne mehnat kii aur avval-number paas hu.eschool se ham ne ulfat kii ham avval-number paas hu.epicture bhii nahii.n dekhii ham ne hokey bhii nahii.n khelii ham nele le ke kitaabe.n pa.Dhte rahe aur KHuub pa.Dhaa.ii kii ham neustaad kii ham ne izzat kii ham avval-number paas hu.ejii-jaan se ham ne mehnat kii ham avval-number paas hu.edin-raat jo khelaa karte the vo bhaa.ii hamaare fail hu.edin-raat jo ghuumaa karte the vo bhaa.ii hamaare fail hu.eus khel se ham ne nafrat kii ham avval-number paas hu.ejii-jaan se ham ne mehnat kii ham avval-number paas hu.eab pyaar se ammii kahtii hai.n ik suiT tumhe.n banvaa de.ngeab pyaar se paapaa kahte hai.n dillii se khilaunaa laa de.ngemaa.n-baap kii ham ne KHidmat kii ham avval-number paas hu.ejii-jaan se ham ne mehnat kii ham avval-number paas hu.ehar saal rahe.nge ham avval aur aage ba.Dhte jaa.e.ngeis desh ke nanhe munne hai.n ham apne hunar dikhlaa.e.ngekyaa baat hamaarii himmat kii ham avval-number paas hu.ejii-jaan se ham ne mehnat kii ham avval-number paas hu.e
bistar me.n leTe leTeus ne sochaa''mai.n moTaa hotaa jaataa huu.nkal mai.n apne niile suiT koalter karnedarzii ke haa.n de aa.uu.ngaanayaa suiT do-chaar mahiine baa'd sahii!darzii kii duukaan se lag karjo hotel haius hotel kiimachhlii testy hotii haikal khaa.uu.ngaalekin machhlii kii buu saaliihaatho.n me.n bas jaatii haikal saabun bhii laanaa haighar aateletaa aa.uu.ngaaab ke ''yardley'' laa.uu.ngaaoffice me.n kal kaam bahut haiboss agar naaraaz hu.aa todo din kii chhuTTii le luu.ngaaaur agar mood hu.aa tochhe ke show me.n''raam-aur-shyaam'' bhii dekh aa.uu.n gaapicture achchhii hai saaliinau se baaraclub ramiido din se luck achchhaa haikal bhii saaTh ruupe jiitaa thaaaaj bhii tiis ruupe jiitaa huu.naur ummiid haikal bhii jiit ke aa.uu.ngaabas ab nii.nd aa.e to achchhaakal bhiijiit kenii.nd aa.e toikkaa-dukkii nahla-dahlaii.nT kii begammachhlii kii buutaash ke pattejoker jokersuiT pahan karmoTaa-tag.Daa joker....itnaa bahut saa soch ke vosoyaa thaa magarphir na uThaa!!duusre din jabus kaa janaazadarzii kii duukaan ke paas se guzraa tohotel se machhlii kii buuduur duur tak aa.ii thii!!!
mai.n ne chho.Daa jo paTaaKHa to buraa maan ga.eKHvaab-e-Gaflat se jagaayaa to buraa maan ga.eham ko bhii daadii kii is chiiz pe haq haasil thaakhaa liyaa tho.Daa saa halva to buraa maan ga.emerii tauhiin thii khaTmal se mako.De se shikastnochnaa jo pa.Daa takiya to buraa maan ga.eab bhii baaqii hai.n vahii zulm-o-sitam teacher kejo kahaa lafz-e-ahinsaa to buraa maan ga.efail kartaa hii to aayaa huu.n sabhii saal magarab kii daddy ko sunaayaa to buraa maan ga.emai.n bhii siine me.n to aaKHir vahii dil rakhtaa huu.nraat picture se jo aayaa to buraa maan ga.ejii me.n aayaa thaa ki kuchh chhup ke kamaa luu.n shohratek hii sher churaayaa to buraa maan ga.eko.ii mujh saa na ho mahruum jahaa.n me.n 'aadil'haal-e-dil jab bhii sunaayaa to buraa maan ga.ehotii aa.ii hai ki achchho.n ko buraa kahte hai.nkyaa hu.aa mai.n bhii jo achchhaa to buraa maan ga.e
ali-mohsin police ke rokne ke vaqt se pahleka.Daahii khaa ke aur yaaro.n se ruKHsat le ke apne ghar pahu.nchtaa thaapahu.nchte hii vo T.v par kisii channel se aatiiinDian picture lagaataa thaamagar phir bhuul kar sabmaayera kii KHushbu.o.n me.n Duub jaaataa thaa
leader ko agar aap kabhii Dhuu.nDhnaa chaahe.nvo pichhle pahar hujra-e-dilbar me.n milegaaaur sub.h ko vo banda-e-aGraaz-o-maqaasidsar KHam kiye darbaar-e-minister me.n milegaaaur din ko vo jantaa ko charaa-gaah kaa bhai.nsaachartaa hu.aa permit kisii daftar me.n milegaaaur shaam ko ahbaab ke paiso.n keii badaulathotel me.n kahii.n yaa kisii picture me.n milegaaaur raat ko haatho.n me.n liye bhaat keii thaaliibiivii se jhaga.Dtaa hu.aa vo ghar me.n milegaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books