Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bura man gae

Adil Khilganvi

bura man gae

Adil Khilganvi

MORE BYAdil Khilganvi

    maiñ ne chhoḌā jo paTāḳha to burā maan ga.e

    ḳhvāb-e-ġhaflat se jagāyā to burā maan ga.e

    ham ko bhī daadī is chiiz pe haq hāsil thā

    khā liyā thoḌā halva to burā maan ga.e

    merī tauhīn thī khaTmal se makoḌe se shikast

    nochnā jo paḌā takiya to burā maan ga.e

    ab bhī baaqī haiñ vahī zulm-o-sitam teacher ke

    jo kahā lafz-e-ahinsā to burā maan ga.e

    fail kartā to aayā huuñ sabhī saal magar

    ab daddy ko sunāyā to burā maan ga.e

    maiñ bhī siine meñ to āḳhir vahī dil rakhtā huuñ

    raat picture se jo aayā to burā maan ga.e

    meñ aayā thā ki kuchh chhup ke kamā luuñ shohrat

    ek sher churāyā to burā maan ga.e

    koī mujh na ho mahrūm jahāñ meñ 'ādil'

    hāl-e-dil jab bhī sunāyā to burā maan ga.e

    hotī aa.ī hai ki achchhoñ ko burā kahte haiñ

    kyā huā maiñ bhī jo achchhā to burā maan ga.e

    main ne chhoDa jo paTaKHa to bura man gae

    KHwab-e-ghaflat se jagaya to bura man gae

    hum ko bhi dadi ki is chiz pe haq hasil tha

    kha liya thoDa sa halwa to bura man gae

    meri tauhin thi khaTmal se makoDe se shikast

    nochna jo paDa takiya to bura man gae

    ab bhi baqi hain wahi zulm-o-sitam teacher ke

    jo kaha lafz-e-ahinsa to bura man gae

    fail karta hi to aaya hun sabhi sal magar

    ab ki daddy ko sunaya to bura man gae

    main bhi sine mein to aaKHir wahi dil rakhta hun

    raat picture se jo aaya to bura man gae

    ji mein aaya tha ki kuchh chhup ke kama lun shohrat

    ek hi sher churaya to bura man gae

    koi mujh sa na ho mahrum jahan mein 'adil'

    haal-e-dil jab bhi sunaya to bura man gae

    hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain

    kya hua main bhi jo achchha to bura man gae

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now