Alam Shayari
ham haiñ tahzīb ke alam-bardār
ham ko urdu zabān aatī hai
hum hain tahzib ke alam-bardar
hum ko urdu zaban aati hai
himmat hai to buland kar āvāz kā alam
chup baiThne se hal nahīñ hone kā mas.ala
himmat hai to buland kar aawaz ka alam
chup baiThne se hal nahin hone ka masala
hausla hai to safīnoñ ke alam lahrāo
bahte dariyā to chaleñge isī raftār ke saath
hausla hai to safinon ke alam lahrao
bahte dariya to chalenge isi raftar ke sath
hamārī fat.h ke andāz duniyā se nirāle haiñ
ki parcham kī jagah neze pe apnā sar nikaltā hai
hamari fath ke andaz duniya se nirale hain
ki parcham ki jagah neze pe apna sar nikalta hai
vo hindī naujavāñ ya.anī alam-bardār-e-āzādī
vatan kī pāsbāñ vo teġh-e-jauhar-dār-e-āzādī
wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi
watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi
-
Tag: Deshbhakti
vo ġham ho yā alam ho dard ho yā ālam-e-vahshat
use apnā samajh ai zindagī jo tere kaam aa.e
wo gham ho ya alam ho dard ho ya aalam-e-wahshat
use apna samajh ai zindagi jo tere kaam aae