inqilābāt-e-dahr kī buniyād
haq jo haqdār tak nahīñ pahuñchā
inqilabaat-e-dahr ki buniyaad
haq jo haqdar tak nahin pahuncha
-
Tag : Inquilab
jurm kis kā hai kaun mujrim hai
aur hotā hai sar qalam kis kā
jurm kis ka hai kaun mujrim hai
aur hota hai sar qalam kis ka
sar-e-bāzār the ham bhī magar biknā nahīñ aayā
kisī maġhrūr hākim kī taraf-dārī nahīñ aa.ī
sar-e-bazar the hum bhi magar bikna nahin aaya
kisi maghrur hakim ki taraf-dari nahin aai
maiñ jāntā huuñ ki insāf kuchh nahīñ hogā
na chaah kar bhī mujhe e'tibār karnā hai
main jaanta hun ki insaf kuchh nahin hoga
na chah kar bhi mujhe e'tibar karna hai