aadmii ke baare me.n
ye jis ke muñh par taalā lagā diyā gayā hai
jise maut kī chaTTān se zanjīr kar diyā gayā hai
jise kahā jā rahā hai tum qātil ho
jis kī roTī chhīn lī ga.ī
jis ke kapḌe utaar liye ga.e
jise mahrūm kar diyā gayā shanāḳht se
aur pheñk diyā gayā maut kī koTharī meñ
jis kī fard-e-jurm meñ likhā gayā luTerā
jis par tamām bandar-gāheñ band kar dī ga.iiñ
jis kī mahbūba ko aġhvā kar liyā gayā
jis se kahā gayā tum ho panāh-gīr
ḳhūn-ālūd āñkhoñ aur hāthoñ suno
raat guzar jaatī hai
na to hamesha rahtī haiñ hirāsatī koThriyāñ
na hī zanjīroñ kī kaḌiyāñ
nero mar gayā
lekin rom vahīñ hai jahāñ thā
rom ne ye jang apnī āñkhoñ se laḌī hogī
ye jis ke munh par tala laga diya gaya hai
jise maut ki chaTTan se zanjir kar diya gaya hai
jise kaha ja raha hai tum qatil ho
jis ki roTi chhin li gai
jis ke kapDe utar liye gae
jise mahrum kar diya gaya shanaKHt se
aur phenk diya gaya maut ki koThari mein
jis ki fard-e-jurm mein likha gaya luTera
jis par tamam bandar-gahen band kar di gain
jis ki mahbuba ko aghwa kar liya gaya
jis se kaha gaya tum ho panah-gir
KHun-alud aankhon aur hathon suno
raat guzar jati hai
na to hamesha rahti hain hirasati koThriyan
na hi zanjiron ki kaDiyan
nero mar gaya
lekin rom wahin hai jahan tha
rom ne ye jang apni aankhon se laDi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.