aaGaaz-e-bahaar
Interesting Fact
(در دز ورتھ کی نظر LINES WRITTEN IN EARLY SPRING کا ترجمہ)
(1)
maiñ baiTh gayā sabza-e-gulzār par ik roz
murġhān-e-ḳhush-ilhāñ kī har ik taan thī dil-doz
kaifiyyat-e-dil aise meñ hotī hai junūñ-ḳhez
ban jaate haiñ jazbāt ḳhushī ke bhī ġham-angez
(2)
qudrat kī har ik chiiz meñ thā husn-e-dil-ārā
dil shaad huā dekh ke ye jalva-e-zebā
lekin ye zarā soch ke phir ho gayā nāshād
kar rakkhā hai insān ne insān ko barbād
(3)
thā jaal bichhā sumbul-e-pur-pech kā har-sū
the gardan-e-nargis meñ gul-e-zard ke baazū
hotā hai guzar baaġh se jab mauj-e-sabā kā
har phuul pe hotā hai asar us kī adā kā
(4)
murġhān-e-chaman gird mire khel rahe the
kyā jāniye kyā ḳhaas ḳhayālāt the un ke
haañ dil pe mire naqsh huī jaatī thī ye baat
sarshār haiñ sarmast haiñ murġhān-e-ḳhush-auqāt
(5)
ḳhvāhāñ thī karūñ bād-e-bahārī ki giraftār
pankhā sā banī jaatī thī har shāḳh-e-chaman-zār
rah rah ke tasavvur ye mire zehn meñ aayā
kyā lutf hai qudrat ke manāzir meñ ḳhudāyā
(6)
hai mere 'aqīde meñ agar koī sadāqat
aisā hī agar hai ye tarab-ḳhāna-e-qudrat
phir kyoñ na ho ye soch ke dil muztar-o-nāshād
insān ne kar rakkhā hai insān ko barbād
(1)
main baiTh gaya sabza-e-gulzar par ek roz
murghan-e-KHush-ilhan ki har ek tan thi dil-doz
kaifiyyat-e-dil aise mein hoti hai junun-KHez
ban jate hain jazbaat KHushi ke bhi gham-angez
(2)
qudrat ki har ek chiz mein tha husn-e-dil-ara
dil shad hua dekh ke ye jalwa-e-zeba
lekin ye zara soch ke phir ho gaya nashad
kar rakkha hai insan ne insan ko barbaad
(3)
tha jal bichha sumbul-e-pur-pech ka har-su
the gardan-e-nargis mein gul-e-zard ke bazu
hota hai guzar bagh se jab mauj-e-saba ka
har phul pe hota hai asar us ki ada ka
(4)
murghan-e-chaman gird mere khel rahe the
kya jaaniye kya KHas KHayalat the un ke
han dil pe mere naqsh hui jati thi ye baat
sarshaar hain sarmast hain murghan-e-KHush-auqat
(5)
KHwahan thi karun baad-e-bahaari ki giraftar
pankha sa bani jati thi har shaKH-e-chaman-zar
rah rah ke tasawwur ye mere zehn mein aaya
kya lutf hai qudrat ke manazir mein KHudaya
(6)
hai mere 'aqide mein agar koi sadaqat
aisa hi agar hai ye tarab-KHana-e-qudrat
phir kyon na ho ye soch ke dil muztar-o-nashad
insan ne kar rakkha hai insan ko barbaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.