aaj jel-KHaane me.n
aaj jail ḳhāne meñ
ek ḳhāmosh 'ahd ke tahat
ham qaidiyoñ ko ek giit gaane kī ijāzat hai
africa salāmat hai
sirf ek giit
kam-āhangī aur matānat ke saath
jazboñ par zabt ke band bāñdh lo
ehsāsāt kī lau nīche rakkhe raho
qaidī tavānā magar ustuvār āvāzoñ meñ gaate haiñ
africa terī ḳhair ho
āñkhoñ ke pīchhe
dil kī gahrā.iyoñ se umḌe nukīle aañsū
be-Thikāna parinde kī vahshat kī tarah
koī naam maqām DhūñDte haiñ
jin par qayām kar sakeñ
un kārnāmoñ kā zikr
jo vo anjām de chuke
un marhaloñ kā tazkira
jin se guzar rahe haiñ
un murādoñ kī fehrist
jin ke husūl ke liye abhī bahut kuchh karnā hai
aaj jail ḳhāne meñ
hameñ ek giit gaane kī ijāzat hai
aaj jail KHane mein
ek KHamosh 'ahd ke tahat
hum qaidiyon ko ek git gane ki ijazat hai
africa salamat hai
sirf ek git
kam-ahangi aur matanat ke sath
jazbon par zabt ke band bandh lo
ehsasat ki lau niche rakkhe raho
qaidi tawana magar ustuwar aawazon mein gate hain
africa teri KHair ho
aankhon ke pichhe
dil ki gahraiyon se umDe nukile aansu
be-Thikana parinde ki wahshat ki tarah
koi nam maqam DhunDte hain
jin par qayam kar saken
un karnamon ka zikr
jo wo anjam de chuke
un marhalon ka tazkira
jin se guzar rahe hain
un muradon ki fehrist
jin ke husul ke liye abhi bahut kuchh karna hai
aaj jail KHane mein
hamein ek git gane ki ijazat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.