aalam-e-yaas me.n
Interesting Fact
(شیلے کی نظم STANZ AS WRITTEN IN DEJECTION کے ایک بند کا ترجمہ)
na hai barqarār sehat
na sukūn-e-qalb hāsil
mirī luT ga.iiñ umīdeñ
mirā dil hai murġh-e-bismil
na vo daulat-e-qanā'at
mujhe ho sakī mayassar
jo nasīb-e-'ārifāñ hai
jo hai māl-o-zar se baḌh kar
na to pā sakā maiñ shohrat
na koī maqām-e-ā'lā
na milī mujhe farāġhat
na maiñ dilrubā kisī kā
ka.ī log haiñ jahāñ meñ
jinheñ ek bhī nahīñ ġham
mujhe mil gayā azal se
faqat iztirāb-e-paiham
koī aur log hoñge
jo haiñ shād-kām-o-ḳhandāñ
mirī zindagī meñ lekin
ġham-o-yās haiñ farāvāñ
na hai barqarar sehat
na sukun-e-qalb hasil
meri luT gain umiden
mera dil hai murgh-e-bismil
na wo daulat-e-qana'at
mujhe ho saki mayassar
jo nasib-e-'arifan hai
jo hai mal-o-zar se baDh kar
na to pa saka main shohrat
na koi maqam-e-a'la
na mili mujhe faraghat
na main dilruba kisi ka
kai log hain jahan mein
jinhen ek bhi nahin gham
mujhe mil gaya azal se
faqat iztirab-e-paiham
koi aur log honge
jo hain shad-kaam-o-KHandan
meri zindagi mein lekin
gham-o-yas hain farawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.