aa.nkho.n me.n raat merii pur-kaif KHvaab aayaa
āñkhoñ meñ raat merī pur-kaif ḳhvāb aayā
hāthoñ meñ le ke saaqī jām-e-sharāb aayā
us nashsha-e-ḳhudī kā 'ālam na mujh se pūchho
jab mere sāmne vo mast-e-shabāb aayā
tū jaane ab kahāñ hai dil kī magar sadā hai
thā māhtāb pahle ab āftāb aayā
ham kyoñ gila kareñ ab dil TūTne kā tujh se
dil bhī to tujh pe misl-e-bū-e-kabāb aayā
'ḳhusro' hai paas us ke 'ḳhusro' ke vo qarīñ hai
jo kah gayā thā tujh se aayā shitāb aayā
aankhon mein raat meri pur-kaif KHwab aaya
hathon mein le ke saqi jam-e-sharab aaya
us nashsha-e-KHudi ka 'alam na mujh se puchho
jab mere samne wo mast-e-shabab aaya
tu jaane ab kahan hai dil ki magar sada hai
tha mahtab pahle ab aaftab aaya
hum kyon gila karen ab dil TuTne ka tujh se
dil bhi to tujh pe misl-e-bu-e-kabab aaya
'KHusro' hai pas us ke 'KHusro' ke wo qarin hai
jo kah gaya tha tujh se aaya shitab aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.