aa.o
aao aao
duniyā ke insānoñ ke kul bachcho
halqa dar halqa aao
nashāt-e-‘azīm hotā hai ulūhiyat
liye hue
aao nācheñ nācheñ
zindagī kā besh-qīmat naach nācheñ
yahāñ nasheb-o-farāz farāz-o-nasheb kī be-pāyāñ
ifrāt hai
aur ye nasheb-o-farāz zindagī ke ird-gird chakkar
lagā kar zindagī ko paak pākīza banā dete haiñ
aah zindagī zindagī
kyā 'umda shai hai zindagī
kis qadar buland aur kitnī matīn kaisī qābil
mohabbat aur kitnī latīf hai zindagī
insān kī zindagī
haivān kī zindagī
daraḳht kī zindagī
aur
gehūñ ke ḳhoshe kī zindagī
aao aao
duniya ke insanon ke kul bachcho
halqa dar halqa aao
nashat-e-‘azim hota hai uluhiyat
liye hue
aao nachen nachen
zindagi ka besh-qimat nach nachen
yahan nasheb-o-faraaz faraaz-o-nasheb ki be-payan
ifraat hai
aur ye nasheb-o-faraaz zindagi ke ird-gird chakkar
laga kar zindagi ko pak pakiza bana dete hain
aah zindagi zindagi
kya 'umda shai hai zindagi
kis qadar buland aur kitni matin kaisi qabil
mohabbat aur kitni latif hai zindagi
insan ki zindagi
haiwan ki zindagi
daraKHt ki zindagi
aur
gehun ke KHoshe ki zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.