aavaaze.n
phir āvāzeñ aanī shurū' ho ga.iiñ
raat ga.e siren kī guuñj
darvāzoñ par mukkoñ kī dhamak
aur ragoñ meñ dard kī kuuk
phir āvāzeñ aane lagīñ
be-alfāz
lā-mutanāhī nauha
jise koī qaidī hī samajh saktā hai
maddham se pancham kī samt
dhīre dhīre buland hotā jaatā hai
mere ham-zād
ziddī bārish kī tarah
apne dukh aahoñ kī sūrat meñ ugalne lagte haiñ
siren kī guuñj
haDDiyoñ ke TūTne kī chatḳhār
aur faujī bōToñ kī chaap
phir vahī āvāzeñ aane lagīñ
phir aawazen aani shuru' ho gain
raat gae siren ki gunj
darwazon par mukkon ki dhamak
aur ragon mein dard ki kuk
phir aawazen aane lagin
be-alfaz
la-mutanahi nauha
jise koi qaidi hi samajh sakta hai
maddham se pancham ki samt
dhire dhire buland hota jata hai
mere ham-zad
ziddi barish ki tarah
apne dukh aahon ki surat mein ugalne lagte hain
siren ki gunj
haDDiyon ke TuTne ki chatKHar
aur fauji booTon ki chap
phir wahi aawazen aane lagin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.