abhii vaqt baaqii hai
abhī haath meñ vaqt hai
mausam apnā safar abhī tai nahīñ kar paayā hai
vaqfa reshmī havāoñ kī tarah jaage hue
ehsās ko ḳhush-gavār banā degā
baḌho aur parvāz karo
magar kab tak uḌ sakoge
kitne 'arse tak
parvāz kar lo parvāz kar lo
is se qabl ki sūraj tumhāre paroñ
kā mom pighlā de
tumhāre par nā-qābil-e-isti’māl rah jaa.eñ
abhi hath mein waqt hai
mausam apna safar abhi tai nahin kar paya hai
waqfa reshmi hawaon ki tarah jage hue
ehsas ko KHush-gawar bana dega
baDho aur parwaz karo
magar kab tak uD sakoge
kitne 'arse tak
parwaz kar lo parwaz kar lo
is se qabl ki suraj tumhaare paron
ka mom pighla de
tumhaare par na-qabil-e-isti’mal rah jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.