agar tire lab nahii.n hile.nge
agar tire lab nahīñ hileñge
sukūt terā maiñ apne dil meñ utaar lūñgā
ki raat jaise
jhukā ke sabr-o-sukūñ se sar ko
ḳhamosh rahtī hai
pāsbānī meñ mehr-o-mah kī
zarūr aa.egī sub.h ik din
añdherā ġhā.eb zarūr hogā
ki āsmāñ ke paroñ se hogī
tire suroñ kī sunahrī bārish
bhareñge parvāz lafz tere
mire parindoñ ke āshiyānoñ se
ye tere naġhme hī phuul ban kar
mire bayābāñ kī har ravish par
khilā kareñge
agar tere lab nahin hilenge
sukut tera main apne dil mein utar lunga
ki raat jaise
jhuka ke sabr-o-sukun se sar ko
KHamosh rahti hai
pasbani mein mehr-o-mah ki
zarur aaegi subh ek din
andhera ghaeb zarur hoga
ki aasman ke paron se hogi
tere suron ki sunahri barish
bharenge parwaz lafz tere
mere parindon ke aashiyanon se
ye tere naghme hi phul ban kar
mere bayaban ki har rawish par
khila karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.