ai jaa.n hu.aa tujh se kyaa judaa mai.n
ai jaañ huā tujh se kyā judā maiñ
ḳhud aap se hī bichhaḌ gayā maiñ
dekhā tujhe aur kho gayā maiñ
ai kaash tujhe na dekhtā maiñ
'arsa huā ham baham hue the
phir tū kahāñ aur kahāñ rahā maiñ
is ġham meñ agar rahā maiñ zinda
be-maut hī goyā mar gayā maiñ
tū ne to mujhe bhulā diyā hai
lekin na tujhe bhulā sakā maiñ
hai kaun sitam meñ yuuñ giraftār
yā 'ḳhusrav'-e-dil-shikasta yā maiñ
ai jaan hua tujh se kya juda main
KHud aap se hi bichhaD gaya main
dekha tujhe aur kho gaya main
ai kash tujhe na dekhta main
'arsa hua hum baham hue the
phir tu kahan aur kahan raha main
is gham mein agar raha main zinda
be-maut hi goya mar gaya main
tu ne to mujhe bhula diya hai
lekin na tujhe bhula saka main
hai kaun sitam mein yun giraftar
ya 'KHusraw'-e-dil-shikasta ya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.