ai sanam kyaa mai.n Gam-e-'ishq kii tadbiir karuu.n
ai sanam kyaa mai.n Gam-e-'ishq kii tadbiir karuu.n
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
ai sanam kyā maiñ ġham-e-'ishq kī tadbīr karūñ
kab tak is tarh bhalā nāla-e-shab-gīr karūñ
dil-e-dīvāna nasīhat se kahāñ maane hai
kyoñ na zulfoñ meñ tirī is ko maiñ zanjīr karūñ
hijr meñ tere jo ġham maiñ ne uThā.e haihāt
sirf ik ḳhat meñ ye mumkin nahīñ tahrīr karūñ
terī zulfoñ ke sabab jitnī pareshānī hai
nahīñ mumkin ki bayāñ sūrat-e-taqrīr karūñ
jab bhī is dil meñ tirī diid kī ḳhvāhish jaage
rū-e-zebā ko tasavvur hī meñ tasvīr karūñ
gar ye jānūñ ki tire vasl kī hai shart yahī
dil-o-dīñ nazr karūñ aur ba-taufīr karūñ
us ke ġham se nahīñ imkān-e-rihā.ī 'hāfiz'
yahī qismat hai to phir kyā koī tadbīr karūñ
ai sanam kya main gham-e-'ishq ki tadbir karun
kab tak is tarh bhala nala-e-shab-gir karun
dil-e-diwana nasihat se kahan mane hai
kyon na zulfon mein teri is ko main zanjir karun
hijr mein tere jo gham main ne uThae haihat
sirf ek KHat mein ye mumkin nahin tahrir karun
teri zulfon ke sabab jitni pareshani hai
nahin mumkin ki bayan surat-e-taqrir karun
jab bhi is dil mein teri did ki KHwahish jage
ru-e-zeba ko tasawwur hi mein taswir karun
gar ye jaanun ki tere wasl ki hai shart yahi
dil-o-din nazr karun aur ba-taufir karun
us ke gham se nahin imkan-e-rihai 'hafiz'
yahi qismat hai to phir kya koi tadbir karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.