'alaamat
aur yuuñ
alfāz kho dete haiñ apne mā'nā
tabdīl hote hue 'alāmatoñ meñ
dekho kañval kī taraf
ek lafz kī shakl meñ kis qadar mā'sūm thā
ye uThā saktā thā
ḳhūb-sūrat lakshmī ko
yā barahmā ko
taḳhlīq kī ġhazab-nākī meñ
us ne rihā.ī dī
ek hāthī raajā ko
ye ubhrā mā'sūm gautam-budh ke nanhe nanhe pairoñ se
us ke rang ne lalchāyā sūraj ko
us ke shahd ne varġhalāyā makkhiyoñ ko
tashbīhī hone ke bāvajūd
us kī āñkheñ aur pair bache rahe
lekin ab ye sirf ek 'alāmat hai
shahd aur shaguftagī se 'aarī
ishāre karte hue
abnā-e-ādam kī maut kā
aur yun
alfaz kho dete hain apne ma'na
tabdil hote hue 'alamaton mein
dekho kanwal ki taraf
ek lafz ki shakl mein kis qadar ma'sum tha
ye uTha sakta tha
KHub-surat lakshmi ko
ya barahma ko
taKHliq ki ghazab-naki mein
us ne rihai di
ek hathi raja ko
ye ubhra ma'sum gautam-budh ke nanhe nanhe pairon se
us ke rang ne lalchaya suraj ko
us ke shahd ne warghalaya makkhiyon ko
tashbihi hone ke bawajud
us ki aankhen aur pair bache rahe
lekin ab ye sirf ek 'alamat hai
shahd aur shaguftagi se 'ari
ishaare karte hue
abna-e-adam ki maut ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.