andhaa ho jaane par
Interesting Fact
(ملٹن کےمشہور سانٹ ON HIS BLINDNESS کا ترجمہ )
maiñ sochtā huuñ kaise basārat chalī ga.ī
andher ho gayā mire 'ahd-e-shabāb meñ
mujh bad-nasīb kī abhī aadhī kaTī thī 'umr
ash'ār band rah ga.e dil kī kitāb meñ
jī chāhtā hai shān-e-ilāhī raqam karūñ
varna ḳhudā sazā hī na de de 'itāb meñ
ghabrā ke pūchhtā huuñ ilāhī maiñ kyā karūñ
fauran sadā ye aatī hai dil se javāb meñ
milton tirā ḳhudā to baḌā be-niyāz hai
vo to baḌā 'alīm hai dānā-e-rāz hai
raazī rahe ḳhudā kī razā par jo aadmī
us ke ḳhulūs meñ bhī nahīñ hai koī kamī
jo sabr o ishtiyāq se karte haiñ intizār
un kā bhī zāt-e-pāk ke bhagtoñ meñ hai shumār
main sochta hun kaise basarat chali gai
andher ho gaya mere 'ahd-e-shabab mein
mujh bad-nasib ki abhi aadhi kaTi thi 'umr
ash'ar band rah gae dil ki kitab mein
ji chahta hai shan-e-ilahi raqam karun
warna KHuda saza hi na de de 'itab mein
ghabra ke puchhta hun ilahi main kya karun
fauran sada ye aati hai dil se jawab mein
milton tera KHuda to baDa be-niyaz hai
wo to baDa 'alim hai dana-e-raaz hai
raazi rahe KHuda ki raza par jo aadmi
us ke KHulus mein bhi nahin hai koi kami
jo sabr o ishtiyaq se karte hain intizar
un ka bhi zat-e-pak ke bhagton mein hai shumar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.