baa.nsurii kahtii hai
bāñsurī kahtī hai
kaash maiñ damishq se guzrūñ
ek guuñj kī tarah
us ke sāhiloñ par ḳhvābīda resham
aur chīḳhoñ meñ ḳhamīda
merī rasā.ī se kahīñ pahle vo mar chukā hogā
fāsla
āñsuoñ kī tarah girtā hai
bāñsurī bulātī hai
vo āsmān ko ek 'aurat se
aur 'aurat ko
ek sarak se taqsīm kartī hai
taaki hameñ alag kar de ek dūsre se
kyā maiñ ne saarī musībat rā.egāñ kaaTī
kyā maiñ ne toḌā pahāḌ ke pattharoñ
aur mohabbat ke pahle seb ko
fāsle kī talvār pukārtī hai
damishq
merī jaan
maiñ mohabbat karnā aur Thaharnā chāhtā huuñ
bāñsurī mujh par kuchh aur mehrbān ho
agar maiñ damishq se
ek guuñj kī tarah bhī guzar sakā
aur agar maiñ tere āñsuoñ kī zabān ban sakā
to maiñ damishq ko bhī pā lūñgā
bansuri kahti hai
kash main damishq se guzrun
ek gunj ki tarah
us ke sahilon par KHwabida resham
aur chiKHon mein KHamida
meri rasai se kahin pahle wo mar chuka hoga
fasla
aansuon ki tarah girta hai
bansuri bulati hai
wo aasman ko ek 'aurat se
aur 'aurat ko
ek sarak se taqsim karti hai
taki hamein alag kar de ek dusre se
kya main ne sari musibat raegan kaTi
kya main ne toDa pahaD ke pattharon
aur mohabbat ke pahle seb ko
fasle ki talwar pukarti hai
damishq
meri jaan
main mohabbat karna aur Thaharna chahta hun
bansuri mujh par kuchh aur mehrban ho
agar main damishq se
ek gunj ki tarah bhi guzar saka
aur agar main tere aansuon ki zaban ban saka
to main damishq ko bhi pa lunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.