bachche
kitne bachche haiñ hamāre
do paidā hue
ek nā-zā.īda ham kho chuke
hazāroñ kabhī paidā hī nahīñ hue
sirf vo
jo paidā hue
ham se duur chale jaate haiñ
nā-zā.īda ab bhī yahīñ haiñ
vo hameñ gher lete haiñ
tāliyāñ bajāte qahqahe lagāte
sīTiyāñ bajāte
khel rahe haiñ miTTī aur pattoñ ke saath
vo yahīñ raheñge
hamāre chale jaane ke baa'd bhī
biite hue 'ahd ke pattoñ kī bāñsuriyāñ bajāte
jin meñ sirf chyūñTiyāñ aur rūheñ safar kar saktī haiñ
bārish meñ sharābor
hamāre bachpan ke saath
kitne bachche hain hamare
do paida hue
ek na-zaida hum kho chuke
hazaron kabhi paida hi nahin hue
sirf wo
jo paida hue
hum se dur chale jate hain
na-zaida ab bhi yahin hain
wo hamein gher lete hain
taliyan bajate qahqahe lagate
siTiyan bajate
khel rahe hain miTTi aur patton ke sath
wo yahin rahenge
hamare chale jaane ke ba'd bhi
bite hue 'ahd ke patton ki bansuriyan bajate
jin mein sirf chyunTiyan aur ruhen safar kar sakti hain
barish mein sharabor
hamare bachpan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.