hukūmat!
tirī talvār kā qad hai bahut kam
bahut hī kam suḳhanvar ke qalam se
suḳhan ke paas hai apnā bahut kuchh
tire qānūn kī mānind ye ma.azūr to hargiz nahīñ hai
tirā zindān ho saktā hai shā.ir ke suḳhan kī nazr sau baar
magar ye to na hogā
ki ik adnā se zindāñ par suḳhanvar kā suḳhan bhī nazr guzre
hukumat!
teri talwar ka qad hai bahut kam
bahut hi kam suKHanwar ke qalam se
suKHan ke pas hai apna bahut kuchh
tere qanun ki manind ye mazur to hargiz nahin hai
tera zindan ho sakta hai shair ke suKHan ki nazr sau bar
magar ye to na hoga
ki ek adna se zindan par suKHanwar ka suKHan bhi nazr guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.