ḳhvāb
har shaḳhs ko nahīñ aate
be-jān bārūd ke zarroñ meñ
soī huī aag ko ḳhvāb nahīñ aate
bure kaam ke liye uThī huī hathelī par aa.e pasīne ko
ḳhvāb nahīñ aate
mallāhoñ se ruuTh chuke samundaroñ ko
ḳhvāb nahīñ aate
shelfoñ meñ paḌī tārīḳh kī kitāboñ ko
ḳhvāb nahīñ aate
ḳhvāboñ ke liye lāzmī hai
raushan diloñ kā honā
ḳhvāboñ ke liye niiñd kī nazar
honā lāzim hai
ḳhvāb is liye
har shaḳhs ko nahīñ aate
KHwab
har shaKHs ko nahin aate
be-jaan barud ke zarron mein
soi hui aag ko KHwab nahin aate
bure kaam ke liye uThi hui hatheli par aae pasine ko
KHwab nahin aate
mallahon se ruTh chuke samundaron ko
KHwab nahin aate
shelfon mein paDi tariKH ki kitabon ko
KHwab nahin aate
KHwabon ke liye lazmi hai
raushan dilon ka hona
KHwabon ke liye nind ki nazar
hona lazim hai
KHwab is liye
har shaKHs ko nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.