ka.ī log kahte haiñ -
bahut kuchh hai kahne ko
bahut kuchh hai aage jo abhī tai karnā baaqī hai
ki jaise lafzoñ se baat nahīñ kahī jā saktī
ki jaise duurī qadmoñ se ḳhatm nahīñ hotī
ka.ī log kahte haiñ -
ab kahne ke liye kuchh bhī baaqī nahīñ
tai karne ke liye kuchh bhī baaqī nahīñ
jaise lafz napunsak ho ga.e hoñ
aur maiñ kahtā huuñ
safar aur tārīḳh kī baat mat karo
mujhe aglā qadam rakhne ke liye zamīn do
kai log kahte hain -
bahut kuchh hai kahne ko
bahut kuchh hai aage jo abhi tai karna baqi hai
ki jaise lafzon se baat nahin kahi ja sakti
ki jaise duri qadmon se KHatm nahin hoti
kai log kahte hain -
ab kahne ke liye kuchh bhi baqi nahin
tai karne ke liye kuchh bhi baqi nahin
jaise lafz napunsak ho gae hon
aur main kahta hun
safar aur tariKH ki baat mat karo
mujhe agla qadam rakhne ke liye zamin do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.