meraa pata
Interesting Fact
Translator : Fahmida Riyaz
aaj maiñ ne apne ghar kā number miTā diyā hai
aur gul kī peshānī par sabt gul kā naam haTā diyā hai
har saḌak kī samt kā naam poñchh diyā hai
agar mujhe DhūñDhnā chāho
to har mulk ke har shahr kī galī kā
darvāza khaTkhaTāo
ye ek kalima-e-ḳhair hai bā.is-e-shar hai
jahāñ bhī ik āzād ruuh kī jhalak dikhā.ī de
samajhnā vo merā ghar hai
aaj main ne apne ghar ka number miTa diya hai
aur gul ki peshani par sabt gul ka nam haTa diya hai
har saDak ki samt ka nam ponchh diya hai
agar mujhe DhunDhna chaho
to har mulk ke har shahr ki gali ka
darwaza khaTkhaTao
ye ek kalima-e-KHair hai bais-e-shar hai
jahan bhi ek aazad ruh ki jhalak dikhai de
samajhna wo mera ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.