merii nazm
merī maañ ko merī nazm samajh nahīñ aa.ī
garche vo merī mādarī zabāñ meñ likhī huī thī
vo to sirf ye samjhī
mere beTe kī ruuh ko kuchh ġham hai
lekin mere hote hue bhī
is ke paas kahāñ se aaya ġham?
nazar gaḌā ke dekhī
merī an-paḌh maañ ne merī nazm
dekho logo
kokh ke jaa.e
chhoḌ ke maañ ko
kāġhaz se dukh kahte haiñ
merī maañ ne us kāġhaz ko uThā ke lagā liyā siine se
ḳhabre yuuñ hī
kuchh qarīb aa jaa.e mere
merā jaayā
meri man ko meri nazm samajh nahin aai
garche wo meri madari zaban mein likhi hui thi
wo to sirf ye samjhi
mere beTe ki ruh ko kuchh gham hai
lekin mere hote hue bhi
is ke pas kahan se aaya gham?
nazar gaDa ke dekhi
meri an-paDh man ne meri nazm
dekho logo
kokh ke jae
chhoD ke man ko
kaghaz se dukh kahte hain
meri man ne us kaghaz ko uTha ke laga liya sine se
KHabre yun hi
kuchh qarib aa jae mere
mera jaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.