sarmaa
merī jaan ThiThur rahī hai
hoñT niile paḌ ga.e haiñ
aur aatmā ko pairoñ se kapkapī chaḌh rahī hai
barsoñ bādal garajte haiñ is umr ke āsmān par
qānūn mere āñgan meñ barf ke TukḌoñ kī tarah gir rahe haiñ
galiyoñ kī kīchaḌ alāñg kar gar aaj tū aa jaa.e
maiñ tere pair dho.ūñ
paikar terā sūraj sā hai
kambal kā konā uThā kar
haDDiyoñ ko garmā luuñ
ek kaTorī dhuup kī
maiñ ek hī saañs meñ p luuñ
aur ek TukḌā dhuup kā
maiñ apnī kokh meñ Daal luuñ
phir shāyad mere janm kā ye mausam-e-sarmā guzar jā.egā
meri jaan ThiThur rahi hai
honT nile paD gae hain
aur aatma ko pairon se kapkapi chaDh rahi hai
barson baadal garajte hain is umr ke aasman par
qanun mere aangan mein barf ke TukDon ki tarah gir rahe hain
galiyon ki kichaD alang kar gar aaj tu aa jae
main tere pair dhoun
paikar tera suraj sa hai
kambal ka kona uTha kar
haDDiyon ko garma lun
ek kaTori dhup ki
main ek hi sans mein p lun
aur ek TukDa dhup ka
main apni kokh mein Dal lun
phir shayad mere janm ka ye mausam-e-sarma guzar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.