bhaa.ii
aaj se baara baras pahle baḌā bhaa.ī mirā
stalingrad kī jañgāh meñ kaam aayā thā
merī maañ ab bhī liye phirtī hai pahlū meñ ye ġham
jab se ab tak hai vahī tan pe ridā-e-mātam
aur is dukh se mirī aañkh kā gosha tar hai
ab mirī umr baḌe bhaa.ī se kuchh baḌh kar hai
aaj se bara baras pahle baDa bhai mera
stalingrad ki jangah mein kaam aaya tha
meri man ab bhi liye phirti hai pahlu mein ye gham
jab se ab tak hai wahi tan pe rida-e-matam
aur is dukh se meri aankh ka gosha tar hai
ab meri umr baDe bhai se kuchh baDh kar hai
- Book : Nuskha Hai Wafa(Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 471)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.