bikharte katbe
(avval)
rag-o-pai meñ jakḌe hue jism ke us taraf
jis jagah āsmānoñ kī had se pare
ḳhvāb hī ḳhvāb hoñ
zehn jo nā-rasā hai
jahāñ dil kī duniyāoñ kā rāsta hai
kitnī tārīkiyoñ meñ hameñ
āftāboñ kā koī gumāñ tak nahīñ hai
mire jism ke post aur haDDiyoñ
se vare
ek pal hai ki jo
āsmānoñ kī jānib ga.e rāstoñ
ko milātā hai
(do.am)
muqayyad hue haiñ
ham ik aisī chāñdnī kī zanjīr meñ
jaise jismoñ meñ phailī rageñ
āsmāñ aur zamīñ
kitne betāb haiñ
aa.eñ ik dūsre se mileñ
āsmānoñ se nikle haiñ ham der se
aa.eñ phir ghar chaleñ
(som)
haDDiyāñ kab se paivast haiñ gosht meñ
aur phir us ghane jaal se ye nikal ā.eñgī
āsmānoñ se nīche utar kar faqat
rizq DhūñDā kiye tum
magar ḳhāk-o-ḳhūñ
har taraf hai
(chahārum)
zehn kī gutthiyoñ meñ ulajhtā huā
merā qalb-e-tapāñ
raat ke ġhaar meñ sūrajoñ kā gumāñ
āsmānoñ bahishtoñ kī socheñ
mirā jism pattoñ meñ bikhrā huā
ġham kī andhī guphā meñ
bahut der se maiñ paḌā huuñ
kahāñ jā.ūñ
rahbar huuñ maiñ
yā koī kārvāñ huuñ
(panjum)
ġham kī andhī guphā meñ
sarā.e meñ bistar pe tanhā
ga.e daur ke marqadoñ meñ
kahāñ jism haiñ
chand katbe haiñ bikhre hue
vaqt kab aa.egā
jism āzād hogā
(awwal)
rag-o-pai mein jakDe hue jism ke us taraf
jis jagah aasmanon ki had se pare
KHwab hi KHwab hon
zehn jo na-rasa hai
jahan dil ki duniyaon ka rasta hai
kitni tarikiyon mein hamein
aaftabon ka koi guman tak nahin hai
mere jism ke post aur haDDiyon
se ware
ek pal hai ki jo
aasmanon ki jaanib gae raston
ko milata hai
(doam)
muqayyad hue hain
hum ek aisi chandni ki zanjir mein
jaise jismon mein phaili ragen
aasman aur zamin
kitne betab hain
aaen ek dusre se milen
aasmanon se nikle hain hum der se
aaen phir ghar chalen
(som)
haDDiyan kab se paiwast hain gosht mein
aur phir us ghane jal se ye nikal aaengi
aasmanon se niche utar kar faqat
rizq DhunDa kiye tum
magar KHak-o-KHun
har taraf hai
(chahaarum)
zehn ki gutthiyon mein ulajhta hua
mera qalb-e-tapan
raat ke ghaar mein surajon ka guman
aasmanon bahishton ki sochen
mera jism patton mein bikhra hua
gham ki andhi gupha mein
bahut der se main paDa hun
kahan jaun
rahbar hun main
ya koi karwan hun
(panjum)
gham ki andhi gupha mein
sarae mein bistar pe tanha
gae daur ke marqadon mein
kahan jism hain
chand katbe hain bikhre hue
waqt kab aaega
jism aazad hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.